Faryad Ya Rasool Allah

Ya Rasool Allah
Teri Zahra Pe Musibat Ki Ghari Hai
Huzoor Ap Ki Dukhtar Ka Dar Jalaya Gaya
Huzoor Ap Ki Dukhtar Pe Dar Giraya Gaya
Huzoor Ap Ki Turbat Se Chand Qadmon Par
Ap Ki Masjid Sa Chand Qadmon Par
Huzoor Aap Ne Awaz Tou Suni Hogi
Huzoor Bain Tou Kano Mein Gunjte Honge

Huzoor Shor Wohi Shor Qaid Karne Ka
Huzoor Lakriyan Darwazay Per Girane Ka
Huzoor Shor Wohi Shor Bab E Hitta Par
Huzoor Kehkahon Ka Thokaron Ka Dastak Ka

Huzoor Shor Wo Darwaze Ke Ukharne Ka
Huzoor Bain Tah E Dar Hadees E Bizat Ka
Huzoor Bain Wohi Bain Al Madad Fiza
Huzoor Shor Wohi Shor Taziyane Ka

Huzoor Neel Ke Chehre Pa Sabt Hone Ka
Huzoor Shor Wohi Shor Bain Wohi Bain
Huzoor Zulm Hue Aur Betahasha Hue
Huzoor Ashk Bahe Aur Betahasha Bahe

Huzoor Is Pe Bhi Ismat Ki Pasdari Rahi
Huzoor Phir Bhi Ali Ko Nahi Pukara Gaya
Kaise Darwaza Hataun Kaise Mohsin Ko Bachaun
Sans Seene Main Ruki Hai
Teri Zahra Pe Musibat Ki Ghari Hai

Leave a Comment

error: Content is protected !!