Aj Rukhsat Ho Rahi Hain Tum Se Zehra Ya Ali

Alwida Fatima
Haye Baad Baba Ke Jo Guzri Wo Musibat Sun Lo
Ya Ali Fatima Zahra Ki Wasiyat Sun Lo

Aaj Rukhsat Ho Rahi Hai Tum Se Zahra Ya Ali
Parda E Shab Mein Meri Mayyat Uthana Ya Ali

Pasliyan Tori Gayi Kaise Ye Batlaun Gi Main
Hashr Ke Maidan Mein Bhi Is Haal Mein Aon Gi Main
Hath Pehlu Se Na Tum Mera Hatana Ya Ali

Wo Musibat Aap Ne Acha Hua Dekhi Nahi
Ab Main Seedhe Hath Se Tasbeeh He Parh Sakti Nahi
Aisa Kunfuz Ne Hai Mara Taziyana Ya Ali

Kehti Hai Zainab Ye Mujh Se Dekh Kar Chehra Mera
Aap Ke Rukhsar Par Ye Neel Hai Kaisa Para
Ary Main Ne Khaya Hai Tamacha Mat Batana Ya Ali

Taziyane Ki Aziyat Ka Uthana Ek Taraf
Wo Tamache Qatal E Mohsin Dar Jalana Ek Taraf
Sab Se Mushkil Tha Magar Darbar Jana Ya Ali

Jab Meri Talqeen Parhna Yaad Kar Lena Zara
Dar Ke Girne Se Mera Baazu Bhi Hai Toota Hua
Mere Shano Ko Zara Dheere Hilana Ya Ali

Chahe Aa Jaye Qayamat Mujh Se Ye Wada Karo
Jab Talak Maula Mere Shabbir Ki Marzi Na Ho
Ary Tab Talak Mera Janaza Mat Uthana Ya Ali

Jab Se Aayi Hoon Palat Kar Fikr Hai Mujh Ko Yehi
Main Tou Parde Mein Gayi Phir Bhi Zaeefa Ho Gayi

Be Rida Darbar Hai Zainab Ko Jana Ya Ali

Karbala Mein Jab Mere Mazloom Par Khanjar Chale
Pyaas Ke Aalam Mein Wo Ghazi Ko Jab Awaz De
Main Bhi Aon Gi Wahan Par Tum Bhi Ana Ya Ali

Hath Pehlu Par Rakhe Boli Takallum Fatima
Main Dua Karti Hoon Tum Ameen Keh Dena Zara
Jald Aye Mere Mehdi Ka Zamana Ya Ali

1 thought on “Aj Rukhsat Ho Rahi Hain Tum Se Zehra Ya Ali”

Leave a Comment

error: Content is protected !!