Teri Zahra Pe Musibat Ki Ghari Hai – 2012

Haye Syeda
Baba Mere Baba
Teri Zahra Pe Musibat Ki Ghari Hai
Kaise Darwaaza Hatau Kaise Mohsin Ko Bachau
Saans Seene Mein Ruki Hai

Haath Mein Jis Ke Mera Haath Diya Tha Tum Ne
Keh Ke Man Kunto Jise Maula Kaha Tha Tum Ne
Maine Har Mor Pe Baba Saath Uska Hai Nibhaaya
Han Mera Jurm Yehi Hai

Teri Ummat Ne Bana Di Hai Ye Halat Baba
Koi Pasli Bhi Nahi Meri Salamat Baba
Saans Leti Hoon Main Jis Dam Rukne Lagta Hai Mera Dam
Sirf Marne Ki Kami Hai

Kabhi Darbaar Mein Peshi Ko Bulaate Hai Humein
Kabhi Darwaaze Pe Aa Aake Sataate Hai Humein
Mere Ye Phool Se Bache Puchte Hai Yehi Mujh Se
Kya Khata Hum Se Hui Hai

Sharm Aati Hai Bhala Tum Ko Bataau Kaise
Ye Tamacho Ke Nishan Tum Ko Dikhaau Kaise
Tum Na Pehchaan Sako Ge Dekh Kar Mujh Ko Kaho Ge
Kya Meri Zahra Yehi Hai

Ye Aziyat Ye Khamoshi Nahi Dekhi Jaati
Mujh Se Tanhai Ali Ki Nahi Dekhi Jaati
Tera Paigham Sunane Haq Wilayat Ka Batane
Zahra Ghar Ghar Mein Gayi Hai

Aap Ke Sog Mein Tareek Na Dekha Gaya Ghar
Aag Darwaaze Pe Ummat Ne Laga Di Aakar
Baba Jaa Baad Tumhare Dekhiye Ghar Mein Humare
Roshni Kaise Hui Hai

Qabr E Zahra Se Takallum Ye Sada Aati Hai
Kitni Sadiyon Se Meri Qabr Pe Veerani Hai
Phool Turbat Pe Charha Ke Ek Diya Laa Ke Jalaane

Kya Madine Mein Koi Hai

Leave a Comment

error: Content is protected !!