Mazar e Fatima s.a

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra
Dekho Mazar E Fatima Kitna Udaas Hai
Ya Mazlooma Ya Masooma Ya Zahra


Dekho Mazar E Fatima Kitna Udaas Hai
Bus Ek Nishan E Sang He Turbat Ke Paas Hai
Mehroom Choomne Se Bhi Har Haq Shanaas Hai
Bol Aye Zamane Dega Bhala Kya Jawaab Tu
Mehshar Mein Mustafa Ke Jab Aayega Ru Baru


Allah Re Ye Fatima Zahra Ki Bekasi
Ek Shamma Bhi Jalane Ko Aata Nahi Koi
Tanha Hai Aik Goshe Mein Beti Rasool Ki
Charo Taraf Madine Mein Phaili Hai Roshni
Toote Hue Mazaar Se Lipti Hai Bekas
i


Bol Aye Zamane Kya Tere Daman Mein Kuch Na Tha
Zahra Ne Har Namaz Mein Di Hai Tujhe Dua
Tu Aik Tooti Qabr He Zahra Ko De Saka
Jab Dekhte Hai Ujri Hui Qabr E Syeda
Lagta Hai Jaise Dhoop Mein Baithi Hai Fatima


Zahra Wohi Ke Jis Ke Pisar Hai Hasan Hussain
Zahra Wohi Ke Jis Ke Hai Shohar Shah E Hunain
Zahra Wohi Ke Jo Dil E Payghambari Ka Chain
Aisa Luta Ye Chain Ke Ghar Baar Lut Gaya
Ek Dil Tha Fatima Ka Jo Sau Baar Kat Gaya


Pehlu Mein Aap Ke Hain Hasan Zain Ul Abideen
Baqir Bhi Aur Jafar E Sadiq Bhi Hai Yahin
Haye Kisi Ki Qabr Salamat Bhi Ab Nahi
Mehshar Mein Apna Dard Sunaye Gi Fatima
Ummat Ne Jo Kiya Hai Bataengi Fatima


Ghurbat Rasool Zaadi Ki Parhti Hai Marsiya
Hasrat Se Takta Rehta Hai Roza Rasool Ka
Aankhon Mein Ashk Cheekhte Hai Wa Mohammada
Farsh E Azaa Bichane Ko Aajaiye Imaam
Zahra Ka Ghum Manane Ko Aajaiye Imaam


Bibi Tumhare Laal Ke Ghumkhwaar Aaye Hai
Jaane Kahan Kahan Se Azadaar Aaye Hai
Nauha Sunane Aapke Zawwaar Aaye Hai
Ye Aarzu Thi Aankhon Se Matti Lagaenge
Socha Na Tha Ke Fateha Parhne Na Payenge


Zawwar Chup Hai Saara Baqaiyya Udaas Hai
Karbobala Khamosh Madina Udaas Hai
Har Ek Nabi Ka Chahne Wala Udaas Hai
Bibi Ko Qabr Mein Bhi Sukoon Hai Na Chain Hai
Hai Pasliyon Pe Haath Zabaan Par Hussain Hai

Leave a Comment

error: Content is protected !!