Thak Gayi Roke Tou Khaamosh Hogayi Zehra
Zakhm Pehlu Main Liye Aaj So Gayi Zehra
Aye Madine Walon Bara Dil Dukhaya
Batao Ahl E Madina Ye Tum Ne Kya Hai Kiya
Nabi Ki Aaal Se Tum Ne Nibhaayi Khoob Wafa
Sitam Hai Umme Abiha Ko Tum Ne Tarpaya
Bulaya Barsar E Darbar Haq Bhi Cheen Liya
Binte Mustafa Ko Kyun Lahu Rulaya
Wo Beti Naazon Se Paala Jise Muhammad Ne
Kabhi Na Ghar Se Nikaala Jise Muhammad Ne
Khadija Ban Ke Sambhaala Jise Muhammad Ne
Khud Apne Aap Mein Dhaala Jise Muhammad Ne
Nargha E Sitam Mein Kyun Usse Bulaya
Tumhara Dawa Tha Humdard Tum Rasool Ke Thy
Hadees E Pak Ke Paband Aur Usool Ke Thy
Tumhi Tou Sehne Nabuwat Main Misl E Phool Ke Thy
Na Tum Nabi Ke Janaaze Main Na Batool Ke Thy
Koi Bhi Tou Wada Tum Ne Na Nibhaya
Chale Gaye Wo Mohabbat Ke Davedaar Kahan
Chale Gaye Wo Muhammad Ke Janisaar Kahan
Wo Jhoote Log Shariyat Ke Thekedaar Kahan
Kaho Rasool Ki Beti Ka Hai Mazaar Kahan
Qabr E Syeda Par Roshni Na Saya
Sanad Ke Tukre Kiye Aur Gawah Jhutlaye
Batool Royi Tou Is Pe Bhi Aitraaz Aaye
Bus Aik Hujre Main Rone Ka Izn Tha Haye
Nabi Ki Laadli Beti Ne Dukh Bohot Khaaye
Ta Dum E Shahadat Kis Qadar Sataya
Qabr E Zehra Se Yehi Aaj Bhi Aati Hai Sada
Kya Sitam Mujh Pe Hue Tum Ko Bataun Baba
Mere Mohsin Ne Wiladat Ke Evaz Paayi Qaza
Zakhmi Pehlu Ko Liye Karti Rahi Main Noha
Aag Leke Aaye Aur Ghar Jalaya
Qaala Rasool Allah Fatimato Bazatuminni Faman Aghzabaha Aghzabani
Ye Hai Hadees E Nabi Kyun Isse Bhulaya Hai
Kisi Ne Fatima Zehra Ko Gar Rulaya Hai
Samajh Lo Usne Muhammad Ka Dil Dukhaya Hai
Hain Khafa Payamber Bus Ye Baat Keh Kar
Kyun Ghadeer Ki Tarhan Ye Qaul Bhi Bhulaya
Ali Ko Qaidi Banaya Gaya Madine Main
Hasan Ko Zehr Khilaya Gaya Madine Main
Nabi Ke Ghar Ko Jalaya Gaya Madine Main
Bughz Ke Jalon Ko Keena Parwaron Ko
Jab Shaheed Syeda Hui Tou Chain Aya
Kahan Talak Wo Masayib Bayaan Kare Mesum
Rasool Zaadi Ke Matam Main Sogwaar Hai Hum
Siyah Posh Hai Kaaba Udaas Hai Aalam
Farsh E Ghum Bichaya Binte Mustafa Ka
Mazhar Abidi Ne Ro Ke Marsiya Sunaya
Laan Allah Hu Ala Adu E Ke Ya Fatima
Hai Qatilane Syeda Jahannumi
Jinhone Ghar Jaladiya Jahannumi
Fidak Ke Chor Ki Saza Jahannumi
Muqasire Aza Wila Jahannumi
Lanati Hai Lanati Hai
Hai Jo Bhi Dushmane Nabi Jahannumi
Hai Jo Bhi Dushmane Ali Jahannumi
Mukhalifeen E Matami Jahannumi
Hai Munqir E Aza Sabhi Jahannumi
