Tum Ne Hum Ko Na Bhulaya Hum Ne Tumko Na Bhulaya
Ya Fatima Salam Ullah Alaiha
Tujh Pe Shahzadi E Konain Meri Jaan Fida
Kya Mila Tujh Ko Zamane Se Masaib Ke Siwa
Baad Paighambar E Islam Hui Aur Jafa
Cheeni Jagir Fidak Baap Ka Wirsa Na Diya
Tujh Ko Jhuthlaya Gaya Kitna Tarpaaya Gaya
Haye Afsos Muhammad Ka Chaman Loot Liya
Wo Jo Rehte Thy Shifaat Ke Talb Ghar Sabhi
Agaye Ghar Ko Jalane Wo Sitamgaar Sabhi
Tune Ayaat Suna Di Sar E Darbar Sabhi
Phir Bhi Jhutlaate Rahe Tujh Ko Gunahgaar Sabhi
Tune Jab Noha Kiya Hans Diye Ahl E Jafa
Aur Quran Ki Aayat Ne Ye Bain Kiya
Pasliyan Toot Gayi Jalta Hua Dar Jo Gira
Aur Mohsin Ki Shahadat Ka Tujhe Dard Mila
Roye Is Baat Pe Haider Jo Tujhe Ghusl Diya
Ta Dam E Marg Tera Haath Na Pehlu Se Hata
Kyun Chupaya Tha Bhala Tune Ye Zakhm E Jafa
Main Tere Baad Isi Baat Pe Hoon Mehv E Buka
Maa Chali Jaaye Tou Lagta Hai Khuda Rooth Gaya
Sayebaan Koi Nahi Duniya Mein Maadar Se Bara
Meri Bibi Teri Mayyat Pe Ye Beton Ne Kaha
Neend Raaton Ki Gayi Aap Ka Saya Jo Utha
Hum Ko Tarpaao Nahi Chor Ke Jao Nahi
Ab Kahan Paayenge Hum Aap Ke Anchal Ki Hawa
Main Tere Naam Ki Tasbeeh Jo Parhta Hoon
Kabhi Khoon Rulati Hai Mujhe Teri Musibat Bibi
Wo Ibadat Wo Musalle Pe Teri Noha Gari
Haath Ek Pehlu Pe Ek Haath Se Tasbeeh Parhi
Wo Rukoo Aur Sujood Teri Gurbat Pe Durood
Is Aziyat Mein Namazein Na Hui Teri Qaza
Aik Pal Ko Bhi Tere Gham Ko Na Mein Bhool Saka
Teri Marqad Ka Suna Phir Mein Baqaiya Pohuncha
Wo Udasi Wo Andhera Wo Sitamgaar Fiza
Haye Marqad Ki Alamat Ko Bhi Rehne Na Diya
Roza Ban Jaye Tera Ye Hai Armaan Mera
Phir Wahan Jaayein Ziyarat Ko Sabhi Ahl E Aza
