Darbari Baithy Hein Zehra Khari hai

Jis Ne Sada Se Pehle Hamesha Aata Kiya
Beti Ussi Ki Ban Ke Sawali Khari Rahi

Jo Samjhe Musalma Musibat Yehi Hai
Ke Darbari Baithy Hein Zehra Khari Hai

Sitam Hai Muhammad Ki Tehreer Parh Kar
Sabhi Hans Rahe Hain Wohi Ro Rahi Hai

Hijab e Khuda Hai Jo Bint e Nabi Hai
Wo Darbar Main Jane Kab Se Khari

Diya Aise Ummat Ne Baba Ka Pursa
Batool Apne Pehlo Ke Bal Gir Pari Hai

Bata Mujh Ko Amma Mera Jurm Kya Tha
Ye Mohsin Ki Ab Bhi Sada Aa Rahi Hai

Kare Gi Na Zehra Ab Apna Koi Gham
Ali Ke Gale Main Rasan Dekh Li Hai

Khayal Agaya Be Rida Betiyon Ka
Wo Ghazi Ka Kurta Jabhi Si Rahi Hai

Hai Mushkil Bara Qabr e Zehra Banana
Ali Ke Labon Pe Bhi Naad e Ali Hai

Batool Ab Bhi Qabr e Shakista Se Ahsan
Imam e Zaman Ko Sada De Rahi Hai

Leave a Comment

error: Content is protected !!