Sakina Aur Zahra ki Musibat

Haye Zahra Haye Sakina
Sakina Aur Zahra Ki Musibat Ek Jesi Hai

Hai Tooti Pasliyan Dono Ki Halat Ek Jesi Hai

Sakina Aur Zahra Ki Musibat Ek Jesi Hai

Vahan Bint-e-Rasollallah Ka, Pehlu Shikasta Hai
Yahan Bacchi Kay Kanon Say, Abhi Bi Khoon Rista Hai
Lehad Main Jakay Dono Ki Gurbat EkJesi Hai

Sakina Aur Zahra Ki Musibat Ek Jesi Hai

Vahan Qunfuz Kay Hathon Ne, Koi Tehreer Likhi Hai
Yahan Tahreer Zalim Shimr Ke, Hathon Ki Milti Hai
Likhi Dono Kay Chehron Par Ibarat Aik Jesi Hay

Sakina Aur Zahra Ki Musibat Ek Jesi Hai

Gayi Ek Ek Dar Par Fatima, Shehr-e-Madina Main
Sakina  Dar Badar Phirti, Rahi Hay Sham O Koofa Main
Wilayat Kay Liye Inki Musafat Aik Jesi Hai

Sakina Aur Zahra Ki Musibat Ek Jesi Hai

Sar-e-Darbar Dadi Aur, Poti Ki Hui Peyshi
Wo Atthara Baras Ki Aur Yeh Hai Char Barson Ki
Na Jany Phir Bhi Kyu Balon Ki Rangat Ek Jesi Hai

Sakina Aur Zahra Ki Musibat Ek Jesi Hai

Usay kehtay The Yasrab Wale Roye Shehr Say Bahar
Tamachay Martay The Sham Wale Is Ko Rone Par
Dilon Main Baap Ko Rone Ki Hasrat Ek Jesi Hai

Sakina Aur Zahra Ki Musibat Ek Jesi Hai

Sitamgar Kay Tamachay Ki Na Jaane Kaisi Zarbat Ha
Saharay Say Chaly Deewar Ke, Dono Qayamat Hai
Nazar Kuch Bhi Nahi Ata Basarat Ek Jesi Hai

Sakina Aur Zahra Ki Musibat Ek Jesi Hai

Gale Say Murtaza Ke Rassiyan Zahra Churati Hai
Sakina Toq Pay Sajjad Ke Pani Bahati Hai
Imamat Kay LiyeDono Ki Mehnat Ek Jesi Hai

Sakina Aur Zahra Ki Musibat Ek Jesi Hai

Mita Dena Nishanay Qabr-e-Mayyat, Qabr Main Rakh Kar
Wilayat Ka Koi Munkir Nahi Aaye Janazay Par
Imam e Waqt Say Unki Wasiyat Aik Jesi Hai

Sakina Aur Zahra Ki Musibat Ek Jesi Hai

Qayamat Ban Kay Aya Tha Takallum Waqt Maghrib Ka
Idhr Bali Sakina Ka Udhar Zahra Ka Dam Nikla
Jahan Se Inke Jaane Ki Bhi Saa-at Ek Jesi Hai

Sakina Aur Zahra Ki Musibat Ek Jesi Hai

Leave a Comment

error: Content is protected !!