Nahi hai koi ab apna Ali ko chorh kar tanha
Ali ke ghr ki ronaq jarhi hai
Janaza uth raha hai Fatima ka
Ali ke ghr ki ronaq jarhi hai
Bohat zakhmi thi khud lekn Ali ke zakham bharti thi
Uth kar hath pehlu se wo ansu saaf karti thi
Ab ansu kon ponchy ga , boht yaad aye gi zehra
Ali ke ghr ki ronaq jarhi hai
Janaza uth raha hai Fatima ka
Bulaya tha jise maa ne kafan se hath phela kar
Usay lipta huwa dekha tou fizza ne kaha ake
Janaze se Hussain uth jaa, Kafan ab chorh dy ma ka
Ali ke ghr ki ronaq jarhi hai
Janaza uth raha hai Fatima ka
kafan jab bhi hatata hai tamacha yaad ata hai
Wo zakhmi maa ka chehra choom ke ansu bahata hai
Hassan ko gham hai chehr per tamachy ka nishan lekr
Ali ke ghr ki ronaq jarhi hai
Janaza uth raha hai Fatima ka
Sirhane beth kar zainab ne maa ka hath jab chooma
Ali kehne lage dekha nisha jab taziyane ka
Chupa dou saniye Zahra ye zakhmi hath Zahra ka
Ali ke ghr ki ronaq jarhi hai
Janaza uth raha hai Fatima ka
Naa ab loori sunye gi na wo jhoola jhulaye gi
Hussain ab Fatima kaise tumhe paani pilaye gi
Wasiyat kar gaye Zahra tumhe pale gi ab Fizza
Ali ke ghr ki ronaq jarhi hai
Janaza uth raha hai Fatima ka
Madine walo ab apne gharon main chain se sona
Sataye ga na ab tum ko Nabi ki beti ka roona
Gira tha jispe jalta dar wo tooti pasliyan lekar
Ali ke ghr ki ronaq jarhi hai
Janaza uth raha hai Fatima ka
Churra kar maa se bachon ko Ali ne jab kafan bandha
Tarap kar haye zeeshan o raza kehne lage maula
Hai taza zakham pehlu ka zara ahista dou kandha
Ali ke ghr ki ronaq jarhi hai
Janaza uth raha hai Fatima ka

Masha Allah Beebi Qubool karey pursa. Bahot behtareen jazak Allah jiyen salamat rahen
Jazak’Allah
Aameen summa aameen