Main tumhare Nabi ki beti hon
Mujhe darbar bulane walon
Kaisa insaf hai tumhara kya shariat yahi sikhati hai
Haq Yateema ka dabane walon
Is qadar zulm kamaya hai musalma tu ne mere mohsin ko mar dala
Ghar faqad hi nahi jalaya hai dil Muhammad ka jalane walon
Qul-e-iman ki zaujah Nabi ki beti hoon jhoot main bolti nahi hon
Mujh ko jhutla rahe ho mimbar se deen ke ahkaam chhupane walon
Mere baba pe hai Quran Khuda ne bheja uski tehreer phar dali
Aur hans kar sanad ke tukron ko yun fazaon mein urane walon
Matami Sangat: Pursadaraan-e-Hussain (PDH)
Shaair: Samar Abbas
Soz: Shani Khan
