Tujhse Wada Hai Fatima Zahra
Tere Ansoo Nahi Bhulayein Gain
Teri Mazloomiyat Pe Roye Gain
Tera Farsh E Aza Bichaye Gain
Tujhpe Kya Kya Sitam Na Dhaye Hain
Taziyane Bhi Tu Ne Khaye Hain
Zulm Ki Inteha Hai Kalmago
Tere Ghar Ko Jalane Aaye Hain
Tere Behte Hue Lahu Ki Kasam
Hum Bhi Apna Lahu Bahayein Gain
Haye Baad E Nabi Na Jane Kyun
Itni Be Reham Hogayi Duniya
Teri Duniya Ujaar Kar Bibi
Chain Se Khud Tou Soo Gayi Duniya
Tere Mohsin Ko Marne Wale
Kya Muhammad Ko Mun Dikhaye Gain
Had Tou Ye Hai Ke Dard E Dil Tera
Ahl E Ghum Bhi Nhi Samjh Paye
Daal Kar Gardan E Ali Main Rasan
Teri Nazron Ke Samne Haye
Jis Tarhan Dil Tera Dukhaya Hai
Hum Kabhi Bhi Na Bhool Paye Gain
Apne Bachon Ke Sath Tera Wo
Bhare Darbar Main Khare Rehna
Apna Haq Mangna Zamane Se
Aur Ummat Ka Zulm Bhi Sehna
Kon Mujrim Hai Syeda Tera
Hum Ye Naslon Ko Bhi Bataye Gain
Pasliyan Tor Di Teri Bibi
Samne Murtaza Ke Mara Hai
Kon Jane Ali Ne Kis Dil Se
Tujhko Zer E Lahad Utara Hai
Teri Turbat Pe Beth Kar Maula
Tere Jane Ka Gum Manaye Gain
Jab Ye Dekha Ke Chal Basi Zahra
Di Sada Ye Hussain Ne Ro Kar
Mere Shiyon Ko Bakshwa Dena
Mujhse Wada Karo Ye Aye Madar
Unka Zamin Hoon Roz E Mehshar Tak
Apne Wade Ko Ye Nibhaye Gain
Shukar Hai Syeda Ka Ye Akhtar
Hum Pe Mehshar Main Bhi Karam Hoga
Panch Farh E Aza Pe Honge Aur
Sar Pe Abbas Ka Alam Hoga
Jab Talak Syeda Na Chahein Gi
Apni Jannat Main Hum Na Jaye Gain
