Waqt Nazdeek Tha Aakhri Raat Thi
Zakhmi Zahra Ne Fizza Ko Aawaz Di
Ayein Fizza Tu Zahra Ne Ro Kar Kaha
Ab Tumhare Hawale Hai Yeh Ghar Mera
Tum Ko Maloom Hai Mera Haal Aye Behan
Mere Bachoon Ka Rakhna Khiyal Aye Behan
Yeh Fizza Pukari Bataein Ye Bibi
Kami Kaisay Maa Ki Main Pori Karun Gi
Maa Maa Hoti Hai
Woh Dekhte Hain Tum Ko Tu Milta Hai Un Ko Chain
Amma Pukartay Hain Tumhein Bhi Hasan Hussain
Main Bholi Nahi Aap Ka Ghar Chalana
Woh Ik Waqt Mein Do Farize Nibhana
Woh Chaki Chalana Woh Jhoola Jhulana
Kabhi Aap Ke Bin Na Guzra Koi Din
Mujhe Amma Fizza Woh Kehte Hain Lekin
Aye Fizza
Adat Hai Loriyon Ki Mere Dil Ke Chain Ko
Lori Suna Ke Tum Bhi Sulana Hussain Ko
Woh Godi Mein Le Kar Usay Pyar Karna
Woh Kehna Mere Lal So Ja Hussaina
Woh Aawaz Sunte Hi Bete Ka Sona
Main Jab Uss Ko Lori Sunaon Gi Bibi
Kahan Se Woh Aawaz Laon Gi Bibi
Aye Fizza
Lagti Bohat Hai Pyas Mere Noor-e-Ain Ko
Uth Uth Ke Shab Mein Pani Pilana Hussain Ko
Ho Pyasa Tu Pani Pila Dun Gi Bibi
Main Khana Bhi Uss Ko Khila Dun Gi Bibi
Sawere Main Chehra Dhula Dun Gi Bibi
Galay Se Lagaon Woh Rothay Manaon
Magar Maa Ki Khushbo Kahan Se Main Laon
Aye Fizza
Zalim Ne Dar Gira Ke Meri Gaud Ujaar Kar
Ik Nasal Khatam Ki Mere Mohsin Ko Mar Kar
Aye Bibi Woh Dar Jab Uthaya Tha Main Ne
Shikasta Hai Pehlu Yeh Dekha Tha Main Ne
Woh Jab Aap Se Haal Pocha Tha Main Ne
Na Gham Pasliyon Ka Na Pehlu Ka Sadma
Thi Yeh Fikar Mohsin Na Mar Jaye Mera
Aye Fizza
Jab Bhi Hasan Ke Samne Jati Hai Fatima
Hathoon Se Apne Gaal Chupati Hai Fatima
Kaha Ro Ke Fizza Ne Aye Shahzadi
Woh Chup Chup Ke Rota Hai Ghurbat Pe Maa Ki
Nisha Ungliyon Ke Hain Chehray Pe Ab Bhi
Janazay Pe Aa Ke Woh Chehra Jo Dekhe
Main Uss Waqt Uss Ko Sanbhalon Gi Kaisa
Aye Fizza
Be Pardah Layi Jaein Gi Bazar Betiyaan
Meri Tarha Se Jayein Gi Darbar Betiyaan
Unhein Shamiyon Se Bacha Lun Gi Bibi
Main Hathoon Ko Chadar Bana Lun Gi Bibi
Unhein Apne Pichey Chupa Lun Gi Bibi
Khulay Sar Woh Haye Jo Darbar Jaye
Chali Aaiye Ga Jo Zainab Bulaye
Aye Fizza
Tasbeeh Kar Rahi Thi Jo Aawaz Kho Gayi
Thak Kar Ghamo Se Fatima Khamosh Ho Gayi
Janaze Pe Zahra Ke Dekha Yeh Manzar
Kaha Jab Yeh Shabeer Ne Maa Se Ro Kar
Aye Amma Bola Lou Hai Be Chain Dilbar
Yeh Sun Kar Kafan Se Uthay Hath Maa Ke
Yeh Fizza Ne Dekha Tu Bolein Ali Se
RAZA aur ZEESHAN Kaisa Sama Tha
Woh Jab Shimr Ne Sheh Pe Khanjar Chalaya
Pohanch Kar Yeh Maqtal Mein Fizza Ne Dekha
Pisar Ke Sirhaney Kaha Fatima Ne
Lehad Chor Aayi Hun Tujh Ko Bachane
