Raah Mein Naaqe Se Jab Gir Gayi Choti Zahra
God Mein Aik Zaeefa Ne Usay Thaam Liya
Sar Pe Jab Haath Rakha Ro Ke Sakina Ne Kaha
Jab Se Baba Se Main Bichhri Hoon Bohot Maara Gaya
Mere Gaalo Pe Tamacho Ke Nishan Hain Bibi
Tum Ne Dekhi Hai Mere Jaisi Yateema Koi
Baat Jab Ye Suni Woh Bhi Rone Lagi
Phir Zaeefa Sakina Se Kehne Lagi
Tum Se Phle Ek Yateema Aisi Bhi Thi
Haan Tumhare Watan Mein He Rehti Thi Woh
Badshah E Madina Ki Beti Thi Woh
Baap Ke Baad Itne Masaib Pare
Apne Ghar Mein Sahare Se Chalti Thi Woh
Ghum Uthati Rahi Kham Kamar Ho Gayi
Naujawani Mein He Jo Zaeefa Hui
Zalimo Ne Yun Baba Ka Pursa Diya
Jalta Darwaza Us Pe Giraya Gaya
Dar Ke Niche Thi Woh Dar Hata Na Saki
Haath Bhi Jal Gaye Pehlu Zakhmi Hua
Log Chal Kar Yahan Se Gaye Jab Wahan
Paaon Rakh Rakh Ke Tori Gayi Pasliyan
Wo Zaeefa Kahani Sunati Rahi
Aur Masoom Aansu Bahati Rahi
Gaal Neele Hai Jaise Tumhare Abhi
Uske Galo Ki Rangat Bhi Aisi He Thi
Saamne Usko Beto Ke Maara Gaya
Waqt Ye Na Kisi Maa Pe Aaye Kabhi
Shahzadi Suno Kitni Bebas Thi Woh
Ghar Mein Bacho Se Chehra Chupati Thi Jo
Jis Tarhan Tere Kaano Se Hai Khoon Rawan
Kaan Uske Bhi Zakhmi The Aye Meri Jaan
Itni Shiddat Se Zalim Ne Maara Usay
Toot Kar Khaak Pe Gir Gayi Baliyan
Beti Bin Baap Ki Dard Seh Na Saki
Haath Kaano Pe Rakh Kar Woh Roti Rahi
Pani Uth Uth Ke Jisko Pilati Thi Woh
Loriyan Deke Jis Ko Sulati Thi Jo
Haath Chadar Mein Us Se Chupane Lagi
Haath Phaila Ke Jis Ko Bulati Thi Woh
Kaise Kehti Woh Maa Mere Dil Meri Jaan
Taziyano Se Zakhmi Hai Sab Ungliyan
Uska Marna Bhi Sab Se Chupaya Gaya
Chauda Logo Mein Ghar Se Janaza Utha
Uski Chalees Qabrein Banayi Gayi
Bus Ye Sunte He Bacchi Ne Ro Kar Kaha
Aye Zaeefa Suno Meri Dadi Thi Woh
Mujh Ko Batao Ke Tum Kon Ho
Haath Pehlu Se Apne Uthate Hue
Zakhmi Chehre Se Parda Hatate Hue
Aye Raza Aur Zeeshan Rone Lagi
Ye Sakina Ko Zehra Batate Hue
Mera Wirsa Ho Tum Mera Chehra Ho Tum
Ab Samajh Aaya Kyun Choti Zahra Ho Tum
