Dekh kar Zahra ko zakhmi Murtaza rote rahe
Gurbat-e-Haider pe saare Anbiya rote rahe
Dar jalaya Syeda ka aake gustakhon ne jab
Us ghari bechain ho ke Mustafa rote rahe
Ho gaya pehlu shikasta zulm yeh aisa hua
Dekh kar masoom saare yeh jafa rote rahe
Neel chehre ke chupati thien Ali se Syeda
Jaan ke Sher-e-Khuda yeh baar-e-haan rote rahe
Saans bhi mushkil se leti thien Nabi ki laadli
Syeda ko dard o gham hain be baha rote rahe
Jo taaruf Panjtan ka thi woh Bibi chal basi
Syeda ko barson ne inama rote rahe
Pasliyan tooti hui then haath bhi toota hua
Dard khud Zahra zahir ba Khuda rote rahe
Noha Khuwan: Kazmi Brothers
Poet By: Zair Jafri
