Zahra Zahra Zahra Zahra
Andhere Andhere Yateemo Se Chup Kar
Sar e Qabr e Zehra Ali Roo Rahe Hain
Ya Zahra Ya Zahra
Tumhari Musibat Bhulaon Ga Kaise
Mein Bachon se Aansoo Chupaon Ga Kaise
Tumhe yaad kar ke jo roye ge bache
Mein Bacho Ko Apne Manaon Ga Kaise
Tasawur Mein Zahra Se Kar Ke Ye Baatein
Jhuka Kar Sar Apna Ali Ro Rahe Hai
Kabhi Aansuon Ko Chupati Hai Zainab
Kabhi Bhaiyo Ko Uthati Hai Zainab
Kabhi Ghar Aangan Me Aati Hai Zainab
Kabhi Maa Ke Hujre Me Jaati Hai Zainab
Kabhi Ro Ke Dukhiya Ye Karti He Noha
Utho Amma Fizza Ali Ro Rahe Hai
Utho Shahzadi Huwa Hai Andhera
Tumhare Bina Wo Kaha Soo Sake Ga
Main Jauga Wapis Tou Bolega Baba
Meri Maa Kahan Hai Bula Dou Khudara
Akele Jala Kar Charag Aansuon Ka
Sar e Qabr e Zahra Ali Roo Rahe Hai
Hai Shehre Nabi Me Sama Karbala Ka
Na Koi Tassali Naa Koi Dilasa
Taraste Hain Ghar Main Yatiman e Zahra
Koi Aa Ke Deta Nahi Inko Pursa
Hussain o Hasan Ka Kahin Par Hai Girya
Kahin Mola Ali Ro Rahe Hain
Kabhi Iss Jagah Ko Na Bhule Gi Mola
Ye Kucha He Maqtal Dil e Murtaza Ka
Yaha Se Na Guzre Hassan baade Zahra
Sitamgar Ne Mara Tha Yun Taziyana
Muhammad Ki Beti Zamin Par Giri Thi
Yahan bethe tanha ali ro rahe he
Wo Lamhe Hain Mushkil Ali Ko Bhulana
Wo Pehlu Pe Jalte Huwe Dar Ka Girna
Wo Aanho Ka Bharna Wo Zakhmo Ka Risna
Shahadat Wo Mohsin Ki Zahra Ka Rona
Taqallum Abhi Tak Isi Bekasi Par Lahad Main Bhi Mola Ali Ro Rahe Hai
Andhere Andhere Yatimo Se Chhup Kar Sar e Qabre Zahra Ali Ro Rahe Hai
