Baba Teri Furqat Aur Ummat Ke Sitam Dhana Bhooli Nahi Zehra
Haq Mangne Aye Baba Darbar Sitam Jana Bhooli Nahi Zahra
Din Raat Tarapti Hoon Tanhai Main Aye Baba
Pursa Mujhe Dene Ko Koi Bhi Nahi Ata
Baba Tere Jate He Ummat Ka Badal Jana
Tehreer Teri Tukre Zalim Ne Hai Kar Dali
Bachon Ki Gawahi Bhi Zalim Ne Nahi Mani
Jhoota Mujhe Kehla Kar Darbar Main Rulwana
Dehleez Pe Jis Ghar Ki Ate Thy Salami Ko
Baad Ap Ke Us Ghar Ki Toqeer Zara Dekho
Ummat Ka Usi Dar Par Haye Aag Ka Le Ana
Jalta Hua Darwaza Dewar Thi Aur Main Thi
Kya Arz Karun Baba Main Soch Nahi Sakti
Ik Zarb Ki Shiddat Se Mohsin Ka Guzar Ajana
Wo Zulm Hua Baba Jo Main Na Socha Tha
Zalim Ne Mere Mun Par Jab Mara Tamacha Tha
Sehme Hue Bachon Ka Madar Se Lipat Jana
Baba Mere Haider Ki Gardan Main Rasan Bandhi
Phir Galiyon Main Phirvaya Us Waqt Bhi Main Tarpi
Baba Mere Wali Ka Rote Hue Ghar Ana
Rehan Se Bolein Gi Mehsar Main Ye Shehzadi
Tum Mujh Ko Nahi Bhoole Main Tum Ko Nahi Bhooli
Farhan Ko Tum Le Kar Jannat Main Chale Ana
