Boli Darbar Main Ye Bint e Nabi
Jake Baba Ko Sab Bataongi
Tum Ne Toheen Ki Meri Kitni
Jake Baba Ko Sab Bataongi
Aik Din Woh Tha Dekh Kar Mujh Ko
Apna Mimbar Se Uth Gaye Baba
Aik Ye Din Hai Mere Aane Par
Koi Tazeem Ko Nahi Utha
Itni Ummat Badal Gayi Unki
Mujh Ko Darbar Main Khara Rakh Ke
Kar Rahe Ho Kalam Has Has Ke
Haye Ufsoos Meri Zainab Ke
Saamne Keh Rahe Ho Jhotha Mujhe
Tum Ne Tehreer Chak Ki Unki
Dekh Kar Mujh Ko Puchege Baba
Zakham Chehre Pe Kaisa Aaya Hai
Main Bataon Gi Puri Takat Se
Kis Ne Muh Par Tamacha Mara Hai
Gir Gayi Kese Kaan Ki Bali
Unchi Aawaz Se Mere Dar Par
Tum Ali Ko Bulae Jate Thy Main Thi
Be Hosh Jalte Dar Ke Tale
Or Dar Par Se Tum Guzarte Rahe
Jhuk Gayi Kis Tarha Kamar Meri
Jis Ne Aazad Qaidiyon Ko Kiya
Tum Ne Us Ko Bana Diya Qaidi
Jis Ne Kufaar Se Bachaya Tha
Us ki Gardan Main Dal Di Rasi
Bewafai Ki Intaha Kar Di
Main Shikayat Karongi Baba Se
Kis Ne Zehra Pe Hath Uthaya Hai
Kis Ne Pehlo Pe Thokarain Mari
Kis Ne Mohsin Ko Mere Mara Hai
Aik Bhi Shak Main Nahi Bholi
Mir Sajjad Kya Baya Ho Bhala
Ghar Main Jab Aayi Loat Kar Zehra
Ho Ke Bechain Puchte Thy Ali
Bolo Darbar Main Hua Kya Kya
Sirf Ro Ro Ke BiBi Kehti Rahi
