Hasan Hussain Ki Zakhmi Ghareeb Maa Zahra
Tamachay Khati Hai Beton Ke Darmiyaan Zahra
Kamar Ke Sath Shikasta Hoye Hain Bazu Bhi
Tumhari Tooti Nahi Sirf Pasliyaan Zahra
Jo Sans Leti Hai Pehlu Mein Dard Bharta Hai
Keh Ab Tu Le Bhi Nahi Sakti Hichkiyaan Zahra
Tamacha Mara Hai Zalim Ne Iss Tarha Tum Ko
Zameen Pe Toot Ke Bikhari Hain Baliyaan Zahra
Hasan Hi Jane Keh Masjid Se Ghar Tak Aate Hoye
Tamachay Kha Ke Giri Hai Kahan Kahan Zahra
Chupaye Kaisay Ali Ki Nigah Se Fizza
Tere Lahu Se Bhira Hai Tera Makaan Zahra
Kuch Our Hai Dushwari Sans Lainay Mein
Kahin Jo Sunti Hai Bachoon Ki Siskiyaan Zahra
Ali Se Poch Rahe Hain Hussain Rotay Hoye
Kya Taziyane Ke Qabil Hai Meri Maa Zahra
Koi Salam Ka Deta Nahi Jawab Ussay
Hai Tanha Fatah-e-Khaybar Ki Qadar Daan Zahra
Bacha Ke Layi Hai Khanjar Talay Se Apna Imam
Bari Ameer Thi Zainab Tumhari Maa Zahra
Hussain Tarpay Takallum Na Kyun Tah-e-Khanjar
Tumhare Hath Pe Durron Ke They Nishaan Zahra
