Tahreer-e-Mustafa Ko Bikhra Huwa Dekha Hai
Phr Binte Payamber Ne Baba Ko Lahad Main Bhi Rota Huwa Dekha Hai
Darwaza Gira Kesy Ummat Se Koi Puchy
Takdeer Ke Khalik Ne Tatheer Ki Malka Ko Girta Huwa Dekha Hai
Ro Ro Ke Yah Kehti Thi Nabiyon Ke Nabi Sunlen
Kesy Teri Zahra Ne Moshin Ko In Ankho Se Jata Huwa Dekha Hai
Toheed Batool Akhir Krdi Hai Lahoo Kisne
Tarikh Main Ummat ka Kirdar Zamany Ne Pitta Huwa Dekha Hai
Haq Zahra ko na dety kuch Paasy Ada Parte
Dil Kat Gaya Bibi Ka Baba ki Jaga Zalim betha huwa dekha hai
Poet: Syeda Fakheera Batool Naqvi
Composition: Imran Abbas Sehar
Matami Sangat: Pursadaran-e-Hussain (PDH)
