Wo Ghar Kay Hukam Jahan Fatima Ke Chaltay Hain - ZIARAT AND Noha Lyrics

Wo Ghar Kay Hukam Jahan Fatima Ke Chaltay Hain

Sayyada, Tahera, Raaziya, Marziya
Wo Ghar Ke Hukm Jahan Fatima Ke Chalte Hai
Tamaam Kaam Wahi’n Se
Khuda Ke Chalte Hai
Wo Ghar Ke Hukm Jaha’n

Tamaam Kaam Wahin Se
Khuda Ke Chalte Hai
Wo Ghar Ke Hukm Jaha’n

Ye Kaisi Raah Guzar Hai Ye Kon Sa Darr Hai
Ke Mustafa Bhi Yahan Sarr Jhuka Ke Chalte Hai
Wo Ghar Ke Hukm Jahan

Jabeen Pe Fakhr Se Rumaal E Sayeda Bandhe
Amame Walo’n Me Hurr Muskura Ke Chalte Hai
Wo Ghar Ke Hukm Jaha’n

Ke Jaise Haath Me Al Maida Ka Surah Ho
Malak Yu Rotiyan Teri Uthake Chalte Hai
Wo Ghar Ke Hukm Jahan

Bana Na Le Koi Duniya Uthake Wo Mitti
Yun Nakhshe Paa Tere Haider Chupa Ke Chalte Hai
Wo Ghar Ke Hukm Jahan

Ae Hurr Na Ghabra Ye Karbobala Ki Basti Hai
Yahan Pe Faisle Aale Abaa Ke Chalte Hai
Wo Ghar Ke Hukm Jahan

Ye Tere Faaqon Ka Sadqa Hai Aye Hussain Ki Maa
Jo Ghar Sukoon Se Ehle Azaa Ke Chalte Hai
Wo Ghar Ke Hukm Jahan

Kaha Ajal Se Takallum Ne Intezaar Karo
Sana E Fatima Zahra Sunake Chalte Hai
Wo Ghar Ke Hukm Jahan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *