Zahra Ko Hai Bohat Mara

Likhne Wale Ne Khat Main Ye Likha
La Liya Youn Ghadeer Ka Badla
Hum Na Zahra ko Hai Bhot Mara

Jab Wo Haq Mangna Ko Ayi Thi
Sath Beta Gawah Layi Thi
Hum Na Inkar Kar Diya Sub Ka

Bhet Jaye Tu Uth Nahi Sakti
Bint e Sarwar Hai Is Qadar Zakhmi
Kar Nahi Pati Fatima Sajda

Robaro Jab Pidar Ka Jayegi
Apna Chehra Dikha Na Payegi
Uska Chehra Hai Is Qadar Neela

Jalte Dar ko Gira Diya Us Per
Or Daar Sa Guzar Gaya Lashkar
Uska Pamaal Hogaya Beta

Choomta Thy Jisa Rasool e Anaam
Jis Sa Karti Thi Wo Ali ko Salam
Hath Phelu Sa Wo Nahi Uthta

Khoon Ka Thy Wahan Zameen Pa Nishan
Gir Gayi Thi Jahan Hussain Ki Maa
Khoon Itna Tha Pasliyo Sa Baha

Koi Thokar Sa Marta tha Usa
Koi Hasta Tha Mar Kar Durra
Youn Pidar Ka Usa Diya Pursaa

Apna Mohsin Ko Yad Karti Hai
Hath Zainab ka Thama Chalti Hai
Usko Ab Kuch Nazar Nahi Ata

Leave a Comment

error: Content is protected !!