Zahra ko satanay kalma go aa gaye
Haye uska ghar jalanay kalma go aa gaye
Ye jante huye bhi mein bint-e-Nabi hoon
Phir bhi mujhe rulanay kalma go aa gaye
Hassnain ro rahe hain Zainab bhi ro rahi hai
Haider ka dil dukhanay kalma go aa gaye
Mohsin ka maara jana hum ko bata raha hai
Ahmad ka khoon bahanay kalma go aa gaye
Baad-e-Rasool royi taqdeer-e-Fatima par
Jab uspe zulm dhanay kalma go aa gaye
Baazu bhi hai shikasta aur tooti pasliyan hain
Yun sabr azmanay kalma go aa gaye
Poet by: Imran Sehar
Soz: Imran Sehar
Matami Sangat: Pursadaran-e-Hussain (PDH)
