Woh Ghar Ke Jis Mein Har Koi Aala Dikhayi De
us Ghar Mein Bhi Bas Aik He Zahra Dikhayi De
Aa Jata Hai Batool Ki Chokhat Pe Jibraeel
Jab Chahta Hai Arsh e Mualla Dikhayi De
Qurban Bait e Zahra Pe Sari Bulandiyan
Dar Jis Ka Koh e Toor Se uncha Dikhayi De
Chandi Ka Kya Hai Fizza Agar Fatima Kahe
Mati Bhi Tere Hath Mein Sona Dikhayi De
Aye Daman e Batool Taharat Tere Nisar
Aanchal Tera Ali Ko Musalla Dikhayi De
Aye Zulfiqar Kon Si Aankhein Hain Tere Pas
Mehshar Talak Ka Har Tujhe Shajrah Dikhayi De
Jitna Dar e Batool Se Mil Jaye Ilm e Gaib
Nabiyon Ko Bhi Bas itna Zamana Dikhayi De
Do Lafz Parh Liye Tou Ye Aalam Guror Ka
Mulla Ye Chahta Hai Ke Maula Dikhayi De
Aise Hai Hur Ke Mathay Pe Romal e Fatima
Kabe Pe Jaise Kabe Ka Parda Dikhayi De
Akbar Woh Mustafa Ke Jo Ummat Ka Baap Hai
Zahra usay Bhi Umm e Abiha Dikhayi De
