Jaisa Mera Moula Waisa Koi Nahi

Ya Shah E Auliya Waris E Mustafa Ya Ali Murtaza Ya Ali Aeliya
Koi Nayi Ali Jiya Koi Nayi Jaisa Mera Maula Waisa Koi Nayi
Saqi E Kausar Shafa E Mehshar Koi Nahi Hai Tere Barabar

Tera Rajab Ko Ab Bhi Kaba Hans Kar Kehta Hai
Main Woh Sadaf Hoon Arsh Ka Gohar Jis Mein Rehta Hai
Mera Qibla Mera Kaba Mera Malik Mera Aaqa

Dar Par Apne Tara Bulaya Suraj Paltaya
Faqay Kar Ke Rizq Jahan Ko Us Ne Pohanchaya
Parh Kar Ye Haider Ka Qaseeda Kehti Hain Khuda Fatima Zahra

Khum Mein Nabi Ne Ye Farmaya Haider Haider Kar
Ban Ja Momin Parh Le Kalma Haider Haider Kar
Jo Bhi Kar Le Qabar Se Bahir Ho Ga Teri Qabar Ke Andar

Pani Aap Darakht Nu La Ke Kita Si Taiyar
Ishq E Ali Di Mesum Keeti Fir Jari Guftar
Jini Wari Khanjar Chaliya Onni Wari Mesum Dasiya

Qaid Nahi Hai Is Mein Koi Shia Sunni Ki
Wajib Hai Har Ik Pe Mohabbat Mere Bhai Ki
Maan Ke Sab Ye Qaul E Payamber Dil Se Pukaro Haider Haider

Azal Se Aik He Manzar Hai Meri Aankhon Mein
Main Kaisay Khana E Kaba Kisi Taraf Dekhon
Tu Khud Bhi Ishq Ki Majboriyaan Samjhta Hai
Najaf Se Aankh Hatay Tou Teri Taraf Dekhon
Shah E Wilayat Shams E Imamat Qasim E Janat Kun Ki Haqeeqat

Shams Bhittai Sachal Baahu Khawaja Ajmeri
Maula Tere Naam Ki Mala Japtay Hain Sab He
Kar Ke Dhamalein Wajad Mein Aa Kar Kehta Hai Ye Lal Qalandar
Dama Dam Mast Qalandar Hussaini Lal Qalandar Ali Da Pehla Number

Aflak Se Layi Jati Hai Seeno Mein Chupayi Jati Hai
Tauheed Ki May Sagar Se Nahi Aankhon Se Pilayi Jati Hai
Saqiya Saqiya Saqiya Our Pila Our Pila Our Pila
Saqiya Our Pila Our Pila Our Pila
 Saqiya Our Pila Our Pila Our Pila

Har So Rawaan Hawa-e-Khumar-e-Tarab Hai Aaj
Baab-e-Qabool Wa Hai Muradoon Ki Shab Hai Aaj
Dil Mein Khushi Surror Nazar Mein Ajab Hai Aaj
Saqi Mujhe Na Chair Ke Terah 13 Rajab Hai Aaj
Rukh Se Naqab Utha Ke Naveed-e-Zahoor De
Rukh Se Naqab Utha Ke Naveed-e-Zahoor De

Woh May Pila Ke Jis Mein Nabowat Ki Bo Miley
Jis Ke Nashay Mein Husan-e-Imamat Ki Kho Miley
 Aadam Ko Jis Se Khoyi Hoi Aabro Miley
Main Bhi Piyon Tu Mujh Ko Khuda Robaro Miley
Woh May Ke Jis Mein Subh-e-Azal Ka Surror Ho
Woh May Ke Jis Mein Aal-e-Muhammad Ka Noor Ho.

Kal Ke Liye Kar Aaj Na Khisat Sharab Mein
Yeh Soye Zan Hai Saqi-e-Kausar Ke Baab Mein
Ghalib  Nadeem-e-Dost Se Aati Hai Bo-e-Dost
Mashgool-e-Haq Hoon Bandagi-e-Buturab Mein

Khum Diyaan Galaan Das Ke Ayho Kehnda Aye Salman
Minber Khas Banawan Kitay Le Le San Palaan
Pak Nabi Ne Bazu Maula Kaun Aye Khud Samjhaya
Koi Nayi Koi Nayi Koi Nayi Ali Jiya Koi Nayi
Jaisa Mera Maula Waisa Koi Nayi

Gaud Mein Le Kar Kalma Sunaya Mir Takallum Ko
Maa Ne Sabaq Yeh Pehla Parhaya Mir Takallum Ko
Beta Hamesha Yaad Yeh Rakhna Mujh Se Zyada Haq Hai Ali Ka
Koi Nayi Koi Nayi Koi Nayi Ali Jiya Koi Nayi
Jaisa Mera Maula Waisa Koi Nayi

Leave a Comment

error: Content is protected !!