Jab Khuda Ko Pukara Ali Agaye
Jab Ali Agaye Zindagi Agayi
Zindagi Bandgi Roshni Agayi
Roshni Agayi Agahai Agayi
Moat Inke Mohibon Ko Ati Nahi
Aa Bhi Jaye Tu Phir Bach Ke Jati Nahi
Moat Ka Kya Khatar Moat Sa Kya Gazar
Is SA BAchna Bhi kya Aa Gai Aa Gai
Teri Masnad Pe Gahiron Ko Bithla Diya
Naib e Mustafa Mazhar e Kibriya
Tu Ali o Wasi o Wali He Raha
Manzilat Main Teri Kya kami Aa Gai
Hum Ke Sarshar Ishq Aur Tawalla Main the
Jante He Na The Nafrat o Dushmani
Ye Tabara Bhi Wallah Kya Cheez Hai
Hum Ko Agyar Sa Dushmani Aa Gai
Maslak E Ishq Main Mangna Aiab Hai
Main Bhi Khamosh Hon Wo Bhi Khamosh Hai
Un Ko Sab Hai Khabar Is Liye Chup Hon Main
Kay Hua Ankh Main Gar Naami Aa Gai
Khums Dena Mawaddat Ki Ik Shart hai
Aur Na Dena Bhi Misl e Fidak Hai Gunah
Haq e Saddat o Zahra Ke Maqroz Sa
Jab Tabara Suna Tu Hasi Aa Gai
Kyun Na Roain Wo Qismat Ko Apni Sada
Jin Ka Pura Muqadar Hai Lanat Zadha
Jin Ki Qismat Main Apne Je Amal Sa
Bint e Ahmed Ki Narazgi Aa Gai
Surah e Al e Imran Bhi Hai Aik Gawah
Misal e Kosar Hui Aal Un Ko Atta
Wo Jo Kehte The Abtar Nabi Ko Mere
Un Ki Qismat Main He Abtari Aa Gai
Ishq e Haidar Main Phirte The Sham o Sahar
Un ki Madha Main Sare Jin o Bashar
Un Ki Awargi Ka Safar Dekh Kar
Zehan Main Fikar e Aawargi Aa Gai
Sairee Ki Sarayat Bata Bhinm Gaye
Aur Maye Ishq e Haider Pila Bhi Gaye
Sibte Jaffar Main Qurba Maye Ishq Ke
Ibn e Jaffar Ko Bhi Shaeeri Aa Gai
