Ali Ali Mola Farhan Ali Waris

Is Baat Pe Kyun Kar Na Kare Fakhar Mawali
Socha Nahi Bus Hum Ne Tou Maana Hai Ali Ko
Batlati Hai Ye Kaabe Mein Maujood Dararein
Is Ghar Ne Bohot Toot Ke Chaaha Hai ALI Ko
Ali Ali Mola Ali Ali Mola

Masjid Boli Mimbar Bola
Tera Rajab Ko Kaaba Bola
Saath Zaban Ke Dil Ye Bola

Charon Taraf Midhat Ki Fizaein
Aao Zamane Bhar Ko Sajaein
Aaj Zahoor Hai Maula Ali Ka
Kyun Na Khushi Mein Naara Lagaein
Wajd Mein Aakar Naara Lagaya
Ali Ali Mola Haider Mola

Tera Rajab Ki Bazm Sajai
Khoob Hui Phir Madha Sarai
Ishq Tera Darwaish Banaye
Ishq Tera Bakshe Danayi
Khoob Wila Ka Jaam Piya Tha
Phir Bhi Nashe Mein Main Nahi Dola

Tu Ne Namaz E Ishq Sikhayi
Tu Ne Humein Tauheed Batayi
Kon Bayan Kar Paye Ga Mola
Teri Fazeelat Teri Barayi
Padhne Laga Wo Tera Qaseeda
Jab Bhi Kabhi Quraan Ko Khola

Manao Jashan Ke Kaabe Mein Aa Rahe Hain Ali
Khuda Ke Ghar Se Buton Ko Bhaga Rahe Hai Ali
Jidar E Kaaba Ne Hans Kar Kaha Khuda Ki Qasam
Mujhe Tawaaf Ke Qabil Bana Rahe Hai Ali

Joothe Khudaon Walo Aao
Joothe Khudaon Ko Le Jao
Aa Gaya Ghar Ka Malik Dekho
Apni Dukan Kahin Aur Lagao
Aagayi Andar Madar E Haider
Jhoom Ke Kaaba Phir Yehi Bola

Marhab Se Larte Bhi Dekha
Tanha Usay Rote Bhi Dekha
Sajda Usay Karte Bhi Dekha
Sajda Usay Hote Bhi Dekha
Sajid Aur Masjood Ali Hai
Raaz Yehi Salman Ne Khola

Rasm E Wafa Duniya Mein Chala Di
Ishq Ki Wo Tehzeeb Sikha Di
Karta Raha Duniya Mein Manadi
Mesum Tha Is Wird Ka Aadi
Kaati Zabaan Jab Ehle Sitam Ne
Daar Pe Jaakar Mesum Bola

Parhte Hue Main Nehj E Balagha
Ishq Mein Tere Soch Raha Tha
Kya Hai Teri Meraaj Bata De
Tujh Ko Sar E Meraaj Bhi Dekha
Mere Lahu Mein Mere Junon Mein
Tere Ishq Ne He Ras Ghola

Mulk E Adam Par Teri Hukumat
Khuld O Iram Par Teri Hukumat
Marziye Rab Ka Malik Tu Hai
Loh O Qalam Par Teri Hukumat
Duniya Tujh Ko Rab Kehti Hai
Jab Jiska Emaan Tatola

Anamta Ka Raaz Bhi Tu Hai
Nabiyon Ka Dam Saaz Bhi Tu Hai
Mazhar Ka Eemaan Hai Maula
Hatif Ki Aawaz Bhi Tu Hai
Madha Sara Farhan Hua To
Kehne Laga Darwaisho Ka Tola

Leave a Comment

error: Content is protected !!