Wo Khoon Ro Ke Kehta Raha Zamanay Se
Ridaeyn Cheeno Naa Logo Mere Gharanay Se
Sawal-e-Aab Pe Rone Pe Us Ke Sonay Pe
Wo Maartay Thay Sakina Ko Har Bahanay Se
Bulati Kis Tarha Abbas Ko Madad Kay Liye
Wo Berida Thee Jhijhakti Rahi Bulanay Se
Sulaya Jaata Tha Behosh Kar Ke Durron Se
Jagaya Jaata Tha Abid Ko Taaziyane Se
Rida-E-Saani-e-Zehra Mei Dhal Gaya Akbar
Ghubaar Utha Jo Laashon Kay Thar Tharaanay Se
Kuch Isterha Sar-e-Karbobala Wo Ujday Thay
Kay Darr Rahay Hain Abhi Tak Wo Ghar Basaanay Se
Kaha Ye Ganj e Shaheedan Mei Baap Kay Sar Nay
Mujhe Sakina Bulati Hai Qaid Khaanay Se
Poet: Hussain Akbar
Soz: Asghar Abbas Khan
Matami Sangat: Guldasta-e-Jafferia Lahore
