Sakina Par Yateemi Ke Hue Maani Ayaa’n Baba
Bana Chehre Pe Jab Pehla Tamache Ka Nisha’n Baba
Mere Chehre Se Mit Jaae’n Nisha’n Shayed Tamacho Ke
Nahi Mitna Sitamgar Ki Anghothi Ka Nisha’n Baba
Faqat Darbaar Mein Dekha Tha Pehli Baar Meine Yeh
Kaneezi Ke Liye Maangi Gayeen Sayyadaniya’n Baba
Baraste Pattharo’n Mein Sab Sare Bazaar The Bikhre
Tere Bikhre Hue Balo’n Ki Surat Bibiya’n Baba
Teri Taskeen Jaa’n Beti Hai Aur Zinda’n Ki Garmi Hai
Badal Kar Reh Gaya Matlab Sakina Ka Yahan Baba
Kaha Saqlain Bibi Ne Qaza Par Bhi Aziyyat Hai
Tumhi Ab Kholna Gardan Se Meri Rassiya’n Baba
Poet: Saqlain Akbar
Soz: Waheed ul Hassan Kamalvi
Matami Sangat: Guldasta-e-Jafferia
