Lehmo Ka Lehmi Jis Ko Kaha
Nafso Ka Nafsi Jis Ko Kaha
Sar E Khana E Khuda Dekho Aagya
Wo Abu Talib Ka Beta
Ameer Ul Momineen Ali Ibne Abi Talib
Qul Ho Allah Ho Ahad Allah Hus Samad Emaan Hai Sub Ka
Ek Bache Ke Awaz Se Phir Kyun Gunja Bait Ullah
Halchal Thi Har Jagha
Ye Kis Ki Hai Sada
Binte Asad Ne Di Ye Khabar Nayi Kon Hai Ye Ane Wala
Teri Hasti Ka Edrak Kahan Hota Hai Khutbon Se
Teri Zaat Wo Zaat Nahi Jo Aqal Main Aye Lafzoun Se
Tujhe Koi Na Samjha
Juz Zaat E Mustafa
Tera Naam Jab Liya Dil Ne Ye Kaha Hamad Hai Ya Zikr E Mola
Har Shay Se Rab Ne Teri Wilayat Ka Iqrar Liya Tha
Wo Shay Tasleem Nahi Rab Ko Jis Ne Inkar Kiya
Tera Rab Se Rabta
Hai Ajeeb Falsafa
Tera Ishq Jab Mila Raaz Ye Khula Hai Wilayat Ka Ek Darja
Ek Roz Ek Sahib E Zulf E Daraz Ne
Hum Se Kaha Ke Kab Ye Sukhanwar Ki Baat Hai
Ata Nahi Hai Zikr E Rasool E Khuda Tumhein
Bus Fatima Ka Zikr Hai Haider Ki Baat Hai
Main Ne Kaha Ke Zikr E Rasool E Khuda Karun
Kehne Laga Ke Han Ye Hai Johar Ke Baat Hai
Main Ne Kiya Jo Dawat E Awal Ka Tazkira
Bole Hatao Is Main Tou Haider Ki Baat Hai
Main Ne Sunaya Ayah E Tatheer Ka Nazool
Bole Ye Ghar Main Rehne Do Ye Ghar Ke Baat Hai
Main Ne Nabi Ke Buth Shikani Ka Kiya Bayan
Kehne Lage Ke Dukhti Hui Rag Na Cheriye
Paye Ali O Dosh E Payamber Ke Baat Hai
Main Ne Sunaya Jab Shab E Hijrat Ka Waqiya
Bole Ke Ye Rasool Ke Bistar Ki Baat Hai
Main Ne Nabi Ke Akhiri Hajj Ka Kiya Bayan
Bole Ke Ye Ghadeer Ke Mimber Ke Baat Hai
Main Ne Kaha Ke Zikr E Nabi Kis Tarhan Karun
Ahmed Ki Baat Baat Main Haider Ki Baat Hai
Meraj Ke Shab Pohunche Tou Muhummad Ne Ye Manzar Dekha
Jane Ye Kis Ka Hath Hijaab E Akber Se Aya
Dil Ko Guman Tha
Ye Hath Hai Tera
Angostri Teri Jab Dekhayi Di Dil Muhammad Ka Ye Bola
Teri Jaye Wiladat Ke Chakkar Kato Tou Hajj Hota Hai
Jis Dil Main Tu Rehta Hai Wo Dil Misl E Kabaa Hai
Hai La Makkan Khuda
Kaaba Hai Ghar Tera
Kahe Koi Tou Bashar Kis Ka Hai Ye Ghar Kon Hai Kabe Main Rehta
Sare Abdal O Qalandar Hain Tere He Dar Ke Nokar
Dewano Ko Danayi Ata Karta Hai Tera Dar
Behlol Ki Sada
Ye Wird Hai Mera
Nahi Koi Dusra Bus Tere Siwa Aur Koi Ho Nahi Sakta
Madhe Mola Ke Liye Salman Ka Dil Mesum Ki Zuban Ho
Har Midhat Ke Mimber Se Raza Tum Ye Ailaan Karo
Har Waqt Har Jagah
Bus Zikr Ho Tera
Tera Mazhar Abidi Sari Zindagi Ye Wazeefa Parhta Rahe Ga
