Abu Talib Ka Gharaana

bara mehboob gharaana abu talib ka gharaana
gulaam inka hai zamaana abu talib ka gharaana

kiya har kaam usi ki riza mein raazi reh kar
khuda ke din ki khaatir hazaaro sadme seh kar
kare har dam shukraana abu talib ka gharaana

risalat ho ke imaamat wilaayat ho ke tahaarat
sharfat ho ke sadaqat sakhaawat ho ke shujat
har ek azmat ka thikaana abu talib ka gharaana

kadi mimbar te pahr ke kadi maidaan te lar ke
kadi naize te charh ke kabhi khutbe parh parh ke
sikhaawe din bachaana abu talib da gharaana

diye raahib ko bete kiya bezar ko buzar
diye hain fitrus ko par jagaaya hur ka muqaddar
ye hai sakhiyon ka gharaana abu talib ka gharaana

pukaara jab mushkil ne inhon ne ki lajpaali
sabhi mangton ke pal me bhari hai jholi khaali
jhuka jis dar pe zamaana abu talib ka gharaana

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *