Kaabe Main Kyun Dhoom Machi Hai Kis Ki Ammad Hai
Kis Ke Ane Ki Ye Khushi Hai Kis Ki Ammad Hai
Logo Ne Jab Ye Pucha Deewar Main Dar Hai Kesa
Bol Uthi Tera Rajab Ye Kaabe Ki Deewar
Aye Hain Haider E Karar
Ye Jashn E Ali Hai
Khool Li Agoosh E Nabi Main Jab Ali Ne Ankh Tou
Muskura Kar Mustafa Ne Dekha Ain Ul Allah Ko
Bhai Aur Apne Wasi Ko Hathon Main Leke Ali Ko
Kaabe Se Nikle Tou Sab Se Bole Sarkar
Agayi Tera Rajab Khushiyan Manao Doston
Jo Jaale Jitna Usay Utna Jaalo Doston
Apni Galiyon Ko Sajao Hum Molayi Hain Batao
Eid Ayi Hai Ghar Se Niklo Ho Kar Tayar
Jashn E Ali Hai Yar Manana Banta Hai
Mola Se Hai Pyar Jatana Banta Hai
Mun Metha Sarkar Karana Banta Hai
Ik Dooje Se Gaale Milo Phoolon Ke Pehnao Har
Jab Qadam Maidan Main Rakha Haider E Karar Ne
Aik Dooje Se Kaha Dar Kar Ye Har Farar Ne
Choro Talwarein Choro Dekho Peeche Tou Dekho
Bhago Bhago Ke Maidan Main Le Kar Talwar
Lashkar E Deen E Khuda Kuch Bhi Nhi Haider Ke Bin
Larne Marhab Se Na Aya Koi Untalees Din
Chaleeswan Din Jab Aya Ye Aaqa Ne Farmaya
Keh Do Marhab Se Ke Ab Hoga Tu Finaar
Dekhun Mola Ko Tou Jeene Ka Maza Aye Mujhe
Mesum E Tamaar Ki Tarhan Qaza Aye Mujhe
Turbat Main Meri Aake Nara Haider Ka Laga Ke
Mujhe Se Ye Bole Farishte Uth Jaa Mere Yar
Jab Zameen Se Barsar E Meraj Aye Mustafa
Mukura Kar Rab Se Bole Jis Ghari Lehja Suna
Aye Mere Paalne Wale Mujh Ko Bas Ye Batla De
Ye Tu Hai Parde Main Ya Parde Ke Us Paar
Jab Dar E Haider Pe Taara Arsh Se Bheja Gaya
Dekha Ye Manzar Tou Chehra Kitno Ka Murjha Gaya
Yasrab Main Dhoom Machi Hai Ye Zahra Ki Shadi Hai
Dulhan Lene Dulha Ban Kar Duldul Sawar
Manao Jashn Hai Mere Yar Dama Dum Haider Haider
Khul Gayi Kaabe Ki Deewar Dama Dum Haider Haider
Hai Jashn E Ammad E Sarkar Dama Dum Haider Haider
Kaho Sab Mil Ke Mere Dildaar Dama Dum Haider Haider
Karao Mun Metha Hai Yar Dama Dum Haider Haider
Zara Phir Jhoom Ke Nara Mar Dama Dum Haider Haider
Zeeshan O Farhan Wila Ka Karte Raho Parchar

