Hussain Ruk Jao

Hussain Ruk Jao
Sadaein Deta Hai Kaaba Hussain Ruk Jao
Na Badlo Hajj Ka Irada

Tum Apne Jad Makaan Main Ho Be Darar Nahi
Hussain Mujh Ko Zamane Ka Aitbar Nahi
Hai Sath Sani E Zehra

Tumhare Paon Pakarti Hai Sar Zameen E Haram
Khuda Ke Wastay Agay Na Ab Barhao Qadam
Na Jao Janib E Kufa

In Hajiyon Ki Zara Bhi Nahi Hai Fikr Mujhe
Hai Bas Ye Fikr Ke Gar Ap Mujh Ko Chor Gaye
Mera Bhi Hajj Nahi Hoga

Kaho Rabab Se Be Sheer Ko Bhi Le Ao
Ali Ki Tarhan Yahan Par Makeen Ho Jao
Tumhara Bacha Hai Chota

Ali Ko Qaidi Banaya Gaya Madine Main
Suna Hai Bibi Ko Mara Gaya Madine Main
Sunao Ghurbat E Zehra

Kare Gain Jashan Ke Yom E Ameer Hai Nazdeek
Ghareeb E Zehra Na Jao Ghadeer Hai Nazdeek
Parhe Gain Mil Ke Qasida

Suna Hai Karbola Main Bala Ki Garmi Hai
Tumhe Pata Hai Isay Kitni Pyas Lagti Hai
Hai Sath Bali Sakina

Laeen Phirte Hain Ehraam Main Liye Khanjar
Tum Apni Behno Ko Le Ao Kaabe Ke Andar
Har Aik Simt Hai Khatra

Jo Guzri Tum Pe Musibat Unhein Suna Dena
Samajh Ke Marqad E Zehra Diya Jala Dena
Yahin Hai Qabr E Khadija

Tumhein Khabar Hai Na Chorain Gi Tum Ko Wo Tanha
Tumhari Maa Se Ziada Chala Nahi Jata
Hai Un Ka Phelu Shikasta

Wo Gham Imam Ka Sajjad Kis Tarhan Likhe
Nikal Ke Makkah Se Kitna Hussain Roye Thy
Bulata Reh Gaya Kaaba

Leave a Comment

error: Content is protected !!