Main Ye Nahi Kehti

Ghar Se Jane Lage Shabbir Tou Sughra Ne Kaha
Le Chalo Mujh Ko Bhi Beemar Tumhe Degi Dua
Ho Jana Khafa Raah Mein Gar Roye Gi Sughra
Yahan Neend Kab Aati Hai Jo Wahan Soye Gi Sughra
Baba Baba

Tanhayi Saza Hai Mujhe Aisi Na Saza Do
Main Ye Nahi Kehti Ke Amaari Mein Bitha Do
Baba Baba
Baba Mujhe Fizza Ki Sawari Mein Bitha Do

Sab Bethe Sawari Mein Main Pedal He Chalun Gi
Waada Hai Kisi Ko Koi Takleef Na Dungi
Baba Baba
Amma Se Mein Hargiz Na Kahun Gi Ke Dawa Do

Palko Se Main Saya Ali Asghar Ke Karun Gi
Amma Ki Sawari Se Bhot Dur Rahun Gi
Baba Baba
Haan Keh Ke Meri Zeest Ke Kuch Roz Barha Do

Main Paani Pilaun Gi Sawari Ko Tumhari
Behlaun Gi Raste Mein Sakina Ko Tumhari
Baba Baba
Jo Kaam Kanizo Ke Hai Sab Mujh Ko Bata Do

Sab Nazrein Churate Hain Koi Dam Nahi Bharta
Sach Hai Koi Murde Se Mohabbat Nahi Karta
Baba Baba
Tauqeer Meri Ye Hai Tou Marne Ki Dua Do

Kya Guzre Gi Jab Ghar Se Chale Jaye Gain Akbar
Kaise Mujhe Har Baat Mein Yaad Aye Gain Akbar
Baba Baba
Kab Aye Gain Lene Mujhe Bhaiya Ye Bata Do

Haan Apni Mohabbat Ka Main Izhaar Tou Karlu
Thehro Ali Asghar Ko Zara Pyaar Tou Karlu
Baba Baba
Naaqe Se Jhalak Nanhe Musafir Ki Dikha Do

Rehan Wo Beemar Ye Thakhar Ke Boli
Aye Sarwar E Zeeshan Tamana Hai Ye Meri
Baba Baba
Jate Ho Tou Turbat Meri Tum Khud He Bana Do

Leave a Comment

error: Content is protected !!