Marhaba Sal E Alaa
Aa Gaya Shaban Khushiyon Ke Zamane Aa Gaye
Rone Wale Mehfilon Mein Muskurane Agaye
Kon Aya Hai Zameen Par Ban Ke Zeenat Baap Ki
Panjetan Khud Shauk Mein Jhoola Jhulane Agaye
Pyaas Bachpan Mein Bujha Kar Sheh Ki Ghazi Ne Kaha
Dekhiye Baba Humein Waade Nibhane Agaye
Main Alam Lekar Chala Tou Aayi Ghazi Ki Sada
Ho Mubarak Ab Tumhe Baazu Katane Agaye
Dekhne Sidra Se Agay Ke Manazir Jibraeel
Fatima Zehra Ke Ghar Chakki Chalane Agaye
Shikwa Qismat Se Na Karna Joan Se Bole Hussain
Ab Tou Raazi Hai Tujhe Hum Khud Manane Agaye
Qabr Mein Pohuncha Jo Momin Aayi Baali Se Sada
Aye Farishton Jao Kyun Isko Jagane Agaye
Maine Likkha Tha Fidak Ki Maalika Tujh Ko Salam
Khar Mein Kuch Log Mera Ghar Jalane Agaye
Dekh Kar Manzar Najaf Se Karbala Tak Yun Laga
Jaise Qayam Ki Hukumat Ke Zamane Agaye
Is Jahan Mein Aye Takallum Hum Faqeer E Buturab
Dushman E Zahra Ko Mitti Mein Milane Agaye
