Suno Shabbir Se Ghazi Ki Sana
Wo Bataein Gain Humein Kya Hai Wila E Abbas
Aao Shabbir Se Sunte Hain Sana E Abbas
Surah E Qadr Ke Parde Mein Pala Hai Abbas
Surah E Hamd Ki Goudi Mein Raha Hai Abbas
Aal E Imran Ke Aangan Mein Chal Hai Abbas
Dil E Yaseen Dharkne Ki Sada Hai Abbas
Be Ke Nukte Se Jo Wan Nas Talak Jaye Ga
Sare Quran Mein Abbas Nazar Aye Ga
Jis Ko Aandhi Kahe Toofan Wo Mera Ghazi Hai
Jis Ke Khadim Hain Suleman Wo Mera Ghazi Hai
Moat Hai Jis Se Pareshan Wo Mera Ghazi Hai
Jis Mein Shabbir Ki Hai Jaan Wo Mera Ghazi Hai
Is Ki Azmat Ki Tou Zainab Ne Qasam Khayi Hai
Fatima Zahra Ka Beta Hai Mera Bhai Hai
Apne Pehlu Mein Hamesha Se Bithaya Maine
Mujh Ko Zahra Ne Isay Jhoola Jhulaya Maine
Farz Nana Ki Tarhan Apna Nibhaya Maine
Is Ko Kandhon Pe Kayi Bar Bithaya Maine
Sab Ye Kehte Hain Samaa Khoob Bana Rakha Hai
Dekh Lo Chand Ne Suraj Ko Utha Rakha Hai
Apne Mabood Ki Masoom Gawahi Abbas
Chalti Phirti Hui Shamsheer E Elahi Abbas
Dushman E Aal E Muhammad Ki Tabahi Abbas
Lashkar E Fatima Zahra Ka Sipahi Abbas
Kufr Ko Ishq Ka Kaaba Nahi Dhane De Ga
Ye Wilayat Pe Koi Aanch Na Ane De Ga
Is Ki Har Aik Sifat Hai Mere Baba Jaisi
Wo Sakhi Ye Bhi Sakhi Woh Bhi Wali Ye Bhi Wali
Farq Allah Ne Hum Dono Mein Rakha Hai Yehi
Main Muhammad Ka Muhammad Ye Ali Ka Hai Ali
Karbala Mein Shab E Hijrat Ka Jo Manzar Hota
Mere Bistar Pe Bhi Abbas E Dilawar Sota
Masala Is Ke Liye Sirf Meri Chah Ka Hai
Foj Ki Fikr Na Khatra Isay Jang Gah Ka Hai
Ghat Par Pehra Agar Lashkar E Roobah Ka Hai
Zor Ghazi Ki Kalai Mein Yadullah Ka Hai
Sirf Naize Se Agar Hath Mila Le Abbas
Nehr Kya Cheez Hai Suraj Ko Utha Le Abbas
Kitne Lakhon Ka Hai Ye Lashkar E Shar Kya Matlab
Samne Shair Ke Ye Teer O Tabar Kya Matlab
Ainullah Ki Ankhon Mein Ho Dar Kya Matlab
Is Ke Hote Hue Khaimon Pe Nazar Kya Matlab
Khelta Aya Hai Gehware Mein Ye Teer Ke Sath
Bachpana Kata Hai Abbas Ne Shamsheer Ke Sath
Dast E Zahra Ka Tarasha Hua Almas Hai Ye
Khandan E Bani Hashim Ke Liye Aas Hai Ye
Karbala Jis Pe Hai Tehreer Wo Qirtas Hai Ye
Shair Jis Shair Se Darte Hain Wo Abbas Hai Ye
Jab Mera Shair E Jawan Ran Mein Biphar Jata Hai
Zindagi Kya Malak Ul Moat Bhi Dar Jata Hai
Milti Julti Mere Baba Se Hai Surat Is Ki
Hai Dil E Sani E Zahra Pe Hukumat Is Ki
Puch Lo Malik E Ashtar Se Shujaat Is Ki
Aik Jumle Mein Sunaun Main Fazeelat Is Ki
Mawra E Samajh O Soch O Dil O Aqal Hai Ye
Kya Fazail Ho Bayan Khud He Abal Fazl Hai Ye
Gard E Khamosh Sitam Garon Ki Sari Barh Barh
Taigh Bijli Ki Tarha Is Ki Jo Chamke Kharh Kharh
Sar Gire Khak Pe Oolon Ki Tarhan Se Tarh Tarh
Moat Dozakh Ki Taraf Hank De Sara Raiwarh
Nehr Tak Sham Ke Lashkar Ke Gira De Lashe
Na Ho Chalne Ki Jaga Itne Bicha De Lashe
Koi Ghazi Sa Wafadar Nahi Ho Sakta
Is Se Acha Koi Mayaar Nahi Ho Sakta
Is Se Barh Kar Koi Haqdaar Nahi Ho Sakta
Ab Koi Aur Alamdar Nahi Ho Sakta
Jab Sar E Hashr Alam Le Ke Nikalna Ho Ga
Is Ke Peeche Tou Rasoolon Ko Bhi Chalna Ho Ga
Chat Pe Kaabe Ki Wo Khutba Diya Hairan Thy Malak
Waqt Thehra Hua Khamosh Thy Sab Arsh Talak
Rob Aisa Tha Jhapakti Na Thi Logon Ki Palak
Sahib E Mimbar E Kufa Ki Nazar Aayi Jhalak
Sab Pe Asrar E Jahan Khol Rah Ho Jaise
Aisa Lagta Tha Ali Bol Rahe Ho Jaise
Allah Allah Ajab Tarhan Se Ye Biphra Tha
Maine Zainab Ki Qasam De Ke Isay Roka Tha
Warna Lashkar Tou Usi Roz Tah O Bala Tha
Is Ne Jab Ghaiz Mein Shamsheer Se Khat Khaincha Tha
Us Ki Haibat Ka Ye Alam Hai Ke Darti Hai Hawa
Ab Bhi Do Hison Mein Us Khat Se Guzarti Hai Hawa
Yad Hai Mujh Ko Wo Siffeen Ka Sara Manzar
Fakhr Se Sar Thy Uthaye Hue Baba Haider
De Ke Ghazi Ko Dua Kehte Thy Bhai Shabar
Tum Ne Dushman Se Bhi Karwa Diya Haider Haider
Fatha Aisi Thi Ke Har Fatima Zada Khush Tha
Khud Mein Siffeen Mein Ghazi Se Zyada Khush Tha
Khul Ke Ye Bazo E Shabbir Lare Ga Ek Din
Yani Mehzar Mein Hai Tehreer Lare Ga Ek Din
Ban Ke Wal Fatha Ki Tafseer Lare Ga Ek Din
Aye Takallum Ye Mahaveer Lare Ga Ek Din
Jab Isay Taigh Chalane Ki Ijazat Ho Gi
Aur Phir Kuch Bhi Nahi Ho Ga Qayamat Ho Gi

