Suno Baad e Zahoor Kya Hoga

Al Ajal Al Ajal Al Ajal Ya Sahib Az Zaman
Al Aman Al Aman Al Aman Al Aman

Haal E Ghum Sunaein Ge Jab Imam Ayein Ge
Bam O Dar Sajaein Ge Jab Imam Ayein Ge
Zakhm E Dil Dikhaein Ge Jab Imam Ayein Ge
Mehfilen Jamaein Ge Jab Imam Ayein Ge
Jashan Hum Manaein Ge Jab Imam Ayein Ge
Suno Baad E Zahoor Kya Hoga

Jo Mushkilein Hain Tou Mushkil Kusha Bhi Hai Koi
Hazar Ghum Hain Tou Ghum Ki Dawa Bhi Hai Koi
Jo Qafle Hain Rawan Rehnuma Bhi Hai Koi
Khuda Agar Hai Tou Phir Na Khuda Bhi Hai Koi
Hai Dard E Dil Tou Koi Dil Ka Chain Bhi Hoga
Yazeed Lakhon Hain Koi Hussain Bhi Hoga

Abhi Tou Khoon Ke Dariya Bahaye Jayein Ge
Abhi Tou Zulm Ke Dhabbe Mitaye Jayein Ge
Sitam Garon Ke Parakhshe Urhaye Jayein Ge
Abhi Tou Qabr Se Murde Uthaye Jayein Ge
Sawal Kar Chuki Zahra Jawab Lena Hai
Fidak Ka Mehdi Ne Aa Kar Hisab Lena Hai

Abhi Bhi Ishq Tarhapta Hai Qatl Gahon Mein
Abhi Hayat Hai Qaidi Ajal Ki Bahon Mein
Abhi Andhera Hai Insan Ki Nigahon Mein
Abhi Tou Qafila E Zindagi Hai Rahon Mein
Ali Ka Sher Abhi Sabr Ki Kachaar Mein Hai
Zamana Apne Muhammad Ke Intezar Mein Hai

Ye Keh Rahi Hai Gham O Ranj Ki Farawani
Khabar Ye Deti Hai Aql O Khirad Ki Hairani
Bata Rahi Hai Ye Zulm O Sitam Ki Tughyani
Barasne Wala Hai Ab Zulfiqar Ka Pani
Sitam Ki Mout Ka Saman Ane Wala Hai
Safeena Dhoondh Lo Toofan Ane Wala Hai

Manadi Ho Gi Ke Adl E Khuda Mubarak Ho
Jeedar E Khana E Haq Murtaza Mubarak Ho
Madine Walo Naya Mustafa Mubarak Ho
Mera Zahoor Aye Khair Un Nisa Mubarak Ho
Tha Dil Pe Karbobala Ka Jo Baar Khatam Hua
Aye Meri Dadi Tera Intezar Khatam Hua

Hai Zaat E Haq Jo Pas E Mojzat Meri Hai
Shareek E Kar E Nabuwat Bhi Zat Meri Hai
Har Ek Imam Ki Har Aik Baat Meri Hai
Faqat Fidak He Nahi Kainat Meri Hai
Har Aik Shehar Ye Tehreer Likhta Jaun Ga
Ye Sab Hai Zahra Ki Jageer Likhta Jaun Ga

Uthe Ga Shor Saf E Karzar Se Bhago
Baras Rahi Hai Ajal Zulfiqar Se Bhago
Koi Kahe Ga Nabi Ke Dayar Se Bhago
Koi Kahe Ga Nikal Kar Mazar Se Bhago
Qaba E Zulm O Tashadud Ko Pharne Wala
Phir Aa Gaya Dar E Khyber Ukharne Wala

Ali Ki Taigh Hai Phir Be Nayam Bhag Chalo
Jagah Haram Mein Nahi Soo E Sham Bhag Chalo
Ajal Ko Yaad Hai Hum Sab Ke Naam Bhag Chalo
Ke Bhagna He Tou Hai Apna Kaam Bhag Chalo
Amaa Nahi Hai Kahin Karzaar E Hasti Mein
Kachar Chor Ke Sher Aa Gaya Hai Basti Mein

Sunayi De Ga Ye Ailaan Taigh E Haider Ka
Hisab Loon Gi Yameen O Yasar Se Shar Ka
Woh Sar Gaya Jo Zara Sa Idhar Udhar Sarka
Malak Bhi Jan Lein Khud Zimedar Hai Par Ka
Na Jibraeel E Ameen Ko Bhi Kuch Riayat Hai
Zameen Pe Mout Ko Rukne Ki Bas Ijazat Hai

Bhari Hai Aag Mere Dil Mein Be Karar Hoon Main
Na Jane Kitne Shaheedon Ki Sogwar Hoon Main
Na Jane Kitne Yateemon Ki Qarzdar Hoon Main
Kahe Ga Kon Ke Haider Ki Zulfiqar Hoon Main
Ali Ke Laal Tere Naam Ki Duhai Hai
Na Aaj Rok Mujhe Akhri Larai Hai

Leave a Comment

error: Content is protected !!