Chale Aao Aye Ibne Mushkil Kusha 

Bulate Hain Ro Ro Ke Ahle Aza
Chale Aao Aye Ibne Mushkil Kusha
Tumhein Haq E Zehra Ka Hai Wasta
Chale Aao Aye Ibne Mushkil Kusha

Hai Phaili Jahan Mein Ajab Si Waba
Ata Sare Alam Ko Kijay Shifa
Waseela Hain Bemar E Karbobala

Khuda Ki Shariyat Ka Dilshad Ho
Ye Veeran Kaaba Phir Abaad Ho
Lagane Alam Is Pe Abbas Ka

Ho Hum Piche Piche Tum Agay Chalo
Naseeb Arbaeen Aik Aisa Bhi Ho
Tumhari Qayadat Mein Ho Qafla

Jise Dekhiye Hai Pareshan Yahan
Ye Waqt E Karam Hai Imam E Zaman
Karo Har Sawali Ki Hajat Rawan

Mera Khuwab Bhi Mahv E Tabeer Ho
Aaye Mola Baqiya Ki Tameer Ho
Labon Par Musalsal Yehi Hai Dua

Mareez E Mohabbat Tarapta Rahe
Magar Tera Dedar Kar Na Sake
Bhala Aisa Jeena Bhi Kis Kaam Ka

Humare Amal Mein Dikhawa Na Ho
Muhabbat Ka Bas Jhoota Dawa Na Ho
Phir Ashkon Ke Lab Khud Ye Dein Ge Sada

Zamane Mein Hote Hue Apke
Kahein Apni Rodad Kyun Ghair Se
Meri Ghairaton Ki Tum He Ho Ana

Tum He Tou Zamane Ke Ho Charagar
Meri Mujh Se Behtar Tumhe Hai Khabar
Kahun Kya Main Haal E Dil E Ghamzada

Hilal Aur Mesum Ki Hai Ilteja
Tumhari Zaban Se Aaye Kash Ek Dafa
Sune Hum Bhi Rote Hue Nahiya

Leave a Comment

error: Content is protected !!