Ya Ali Adrikni

Ya Ali Adrikni
Ro Ke Bazar Main Deti Thi Sada Binte Ali
Ya Ali Adrikni Ya Ali Adrikni

Nok E Naiza Se Sada Deta Hai Ibn E Zehra
Log Zainab Ki Taraf Dekh Rahe Hain Baba
Zair E Khanjar Nazar Ati Hai Tumhari Beti

Imtehan Ghairat e Sajjad Ka Kaisa Hoga
Qatal Darbar Main Sajjad Dubara Hoga
Mangne Aya Hai Bachi Ko Kaneezi Main Shaaqi

Keh Do Zalim Se Mujhe Mar Le Akar Durra
Baba Zainab Se Ye Manzar Nahi Dekha Jata
Marta Hai Woh Mere Bhai Ke Honton Pe Chari

Sar Khule Sham Main Saadat Jidhar Jate Hain
Log Pathar Liye Pehle He Nazar Atay Hain
Aj Bazar Main Mar Jaye Na Koi Bibi

Ap Ke Samne Jo Baat Nahi Karti Thi
Aj Bazar Main Woh Beti Bhi Khutbe Degi
Ap Ke Lehje Ki Is Waqt Zarorat Hai Bari

Abhi Darbar Se Pehle He Guzar Jaye Gi
Sun Liya Sani E Zahra Ne Tou Mar Jaye Gi
Log Kehte Hain Hussain Ibn e Ali Ko Baagi

Sare Bazar Ne Hans Hans Ke Tamasha Dekha
Aur Bhi Shimr Ne Is Baat Pe Us Ko Mara
Jab Tamachon Pe Sakina Ye Tarap Kar Boli

Bab E Saat Ka Jo Bazar Se Dekha Manzar
Thy Takallum Wahan Sab Log Uthaye Pathar
Sani E Zehra Ye Kehti Hui Naqay Se Geeri

Leave a Comment

error: Content is protected !!