Fajar Uneeswin Ramzan Ki Tarpati Hai
Fatima Zahra Ki Jis Waqt Sada Aati Hai
Aa Dekh Le Zainab Tera Zakhmi Baba Ghar Laut Ke Aaya Hai
Kandhoon Pe Uthaye Youn Betay Hain Laye Lagta Hai Janaza Hai
Mushkil Se Safar Yeh Tey Hai Kiya Jari Hai Lahu Ka Darya
Masjid Se Ghar Tak Har Aik Qadam Par Beton Ne Sanbhala Hai
Halat Hi Ajab Hai Baba Ki Pehchanna Mushkil Hoga
Zahra Ki Ghareebi Yaad Aaye Gi Bibi Tar Khon Mein Chehra Hai
Jarrah Se Hujray Ke Bahir Jab Haal Hasan Ne Pocha
Woh Ro Ke Pukara Mushkil Howa Jeena Yeh Zakhm Hi Aisa Hai
Ab Sham e Ghareebaan Mein Tum Ko Yeh Chehra Nazar Aaye Ga
Aye Sani e Zahra Kuch Roz Ka Mehman Ab Aap Ka Baba Hai
Yeh Shana Hila Kar Kehti Hain Abbas e Jarri Ki Madar
Bibi Uth Jao Ashkon Ko Chupao Baba Ne Bulaya Hai
Qadmo Mein Gir Ke Zainab Ke Ghazi Ki Behan Yeh Boli
Baba Ko Bacha Lo Sadqay Mujhe Kar Do Hazir Yeh Ruqaiya Hai
Ik Roz Akelay Aana Hai Iss Shehar Mein Tujh Ko Bibi
Kya Ho Ga Na Jane Shehzadi Abhi Se Badla Huwa Kufa Hai
Shabar Ka Jigar Shabir Ka Sar Abbas e Jarri Ke Bazu
Kattay Dekho Gi Aye Baba Ki Pyari Yeh Zakhm Tu Pehla Hai
Yeh Keh Ke Takallum Beti Se Khamosh Hoye They Maula
Darbar Ke Dar Par Main Aaon Ga Milne Zainab Mera Wadah Hai
