Mola Hasan Aa Gaye

Imam E Zaman Aa Gaye Meer E Aman Aa Gaye
Imam E Zaman Meer E Aman Mola Hassan Aa Gaye

Aa Gaye Aa Gaye Imam E Zaman Aa Gaye

Thay Azal Say Bhi Pehlay Gul E Noor Jo
Fatima Ka Khilanay Chaman Aa Gaye
Itni Khushiyon Bhari Aaj Ki Raat Hai
Aaj Sab Kay Hain Mola Hassan Aa Gaye
Thay Azal Say Bhi Pehlay

Loh E Mehfooz Mein Han Jo Rakha Hua
Khud Khuda Nay Diya Hai Hassan In Ko Naam
Arsh Ta Farsh Hai Noor Chaya Hua
Aa Rahi Hai Sada E Durood O Salam
Jis Say Rahat Milay Mustafa Ko Mili
Woh Jahan Mein Imam E Zaman Aa Gaye
Thay Azal Say Bhi Pehlay

Jin Ki Soorat Wa Seerat Nabi Jaisi Hai
Saray Alam Mein Aisa Nahi Doosra
Denay Aye Malayek Salami Sabhi
Ho Rahi In Pay Hooran E Jinnan Fida
Rahat E Qalb O Jan Jo Nabi O Ali
Woh Imamat Kay Doojay Rukan Aa Gaye
Thay Azal Say Bhi Pehlay

Pisar E Khair Un Nisa Hain Jo Bab E Huda
Hasan Mola Jo Jannat Kay Sardar Hain
Hoor O Ghilman Saray Hain Dar Pay Kharhay
Aaye Karnay Ghulami Ka Iqraar Hain
Jin Ko Izn E Shifa’at Khuda Say Mila
Hain Mitanay Woh Ranj O Mohan Aa Gaye
Thay Azal Say Bhi Pehlay

Jin Pay Naazan Khuda Jin Pay Naazan Nabi
Jin Ko Sabz E Qaba Ka Laqab Hai Mila
Woh Jo Sardar Hain Khuld Kay Ba Khuda
Aai Sath Un Kay Hai Rehmaton Ki Ghata
Jis Say Deen E Nabi Ko Milay Gi Amaan
Hain Woh Khursheed Meer E Aman Aa Gaye

Thay Azal Say Bhi Pehlay Gul E Noor Jo
Fatima Ka Khilanay Chaman Aa Gaye
Itni Khushiyon Bhari Aaj Ki Raat Hai
Aaj Sab Kay Hain Mola Hassan Aa Gaye
Thay Azal Say Bhi Pehlay

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *