Qatl Hue Sher E Khuda

Karte Thay Jibreal Yeh Noha
Qatl Hue Sher E Khuda
Haye Ali Haye

Rone Lagi Masjid E Kufa

Khana E Zehra Main Jab Pohnchi Yeh Gham Ki Khabar
Taig Jafa Chal Gai Haider E Karrar Par
Khoon Main Duba Hai Musalla

Kufe Ki Galiyon Main Thi Ek Qayamat Bapa
Bewa Yateemo’n Main Yeh Nala O Shehwan Utha
Kon Hamain Daiga Sahara

Baap Ko Is Haal Main Daikh Ke Roye Pisar
Zakhmi Pare Hain Ali Sara Badan Khoo’n Main Tar
Keh Ke Yahi Painkha Amama

Ek Chatai Pe Phir Un Ko Litaya Gaya
Khana E Zehra Main Jab Maula Ko Laya Gaya
Karti Thi Shehzadian Girya

Daikhi Jo Jaraah Ne Zakhmi Jabeen E Ali
Shabbar O Shabbir Se Roke Woh Bola Yahi
Kese Kahun Ap Se Jumla

Daag E Yateemi Mila Syed Mazloom Ko
Kon Sambhale Ga Ab Zainab O Kulsoom Ko
Sab Se Bara Hai Yahi Sadma

Roke He Unees Aur Bees Ka Din Kat Gaya
Aai Jo Ramzan Ikeeswi Kar Gaye Mola Kaza
Gunj Raha Tha Yahi Nauha

Rati Hai Shehzadian Kunba Dilafgaar Hai
Haider E Karrar Ka Akhri Deedar Hai
Ab Hai Tassali Na Dilasa

Mazhar O Mesum Yunho Nauhe Ka Ho Haq Ada
Lafz Parhain Marsiya Aur Labo’n Par Buka
Kehte Huwe Ek He Jumla

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *