Aaj Ghar Ghar Main Matam Bapa Hai
Qatl Zainab Ka Baba Hua Hai
Lab Pe Jibreel Ke Ye Buka Hai
Kale Kapron Main Hain Aaj Ahl e Aza
Hai Labon Par Sada Ya Ali Eliya
Nauhakhwani Kaheen Aur Kaheen Marsiya
Sare Alam Main Gham Ki Fiza Hai
Majlison Aur Julooson Main Zikr E Ali
Rozadaro Ki Ankhon Main Gham Ki Nami
Burhain Bache Jawaan Hain Sabhi Matami
Rozadaro Ke Lab Par Sada Hai
Kale Parcham Uthaate Huaye Sar Ba Sar
Shahrahon Pe Nikle Sabhi Nauhagar
Ek Majlis Se Hai Doosri Ka Safar
Haan Ye Mauhol Batlaaraha Hai
Rozadaro Ke Kandho Pe Taboot Hai
Sab Hain Khooni Qaba Aur Rote Huay
Ya Ali Ya Ali Ki Jo Awaaz Hai
Har Azadar Ye Keh Raha Hai
Roke Kehte Hain Hasnain Sar Peet Kar
Aayi Uneesween Ki Ye Kaisi Sahar
Dekha Jaata Nahi Baap Ka Zakhmi Sar
Qabr E Zehra Main Aaho Buka Hai
Roz Raaton Ko Khaana Khilaata Tha Jo
Sab Yateemo Ke Gham Ko Mitaata Tha Jo
Ab Nahi Aayega Roz Aata Tha Jo
Ye Sitam Bekason Par Kiya Hai
Baap Ke Gham Me Roti Hain Saidaniya
Khaak Uraati Hain Kehti Hain Sab Betiyan
Zindagi Bhar Karainge Yoon Aaho Fughaan
Ye Qayamat Ka Gham Jo Mila Hai
Farshe Majlis Pe Mesum Ye Nauha Karo
Jo Masayib Hain Mazhar Vo Likhte Raho
Bibi Zahra Ko Ashkon Se Pursa Bhi Do
Bus Ye Aghaz E Karbobala Hai
