Kafan Ab Chor Do Zainab

Zahra Ke Ghar Mein Haye Qiyamat Ka Wo Samaan 
Meyyat Ali Ki Rakhi Thi Lipti Thi Betiyan 
Zainab Kafan Ko Thaam Ke Leti Thin Hichkiyan 
Zainab Ke Paas Aake Hasan Ne Ki Yeh Fighaan 

Janaaze Ko Uthana Hai, Kafan Ab Chhod Do Zainab 
Utho Zainab Karo Himmat 
Karo Baba Ko Ab Rukhsat 
Qiyamat Ka Yeh Sadma Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab

Pidar Ki Jaan Mein Hi Betiyon Ki Jaan Hoti Hai
Judaai Baap Ki Sehna Kahan Aasaan Hoti Hai 
Ae Meri Ghamzada Khwahar 
Mujhe Maaloom Hai Tum Par 
ohot Mushkil Yeh Lamha Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab

Janaaza Leke Baba Ka Humein Jaane Do Ab Ghar Se
Kaheen Ro Ro Ke Is Gham Mein Rida Gir Jaaye Na Sar Se 
Sambhalo Ae Behan Khud Ko 
Tumhare Haal Par Dekho 
Mera Abbas Rota Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab

Humein Ab Zindagi Bhar Is Yateemi Ka Hai Gham Sehna
Bohot Mushkil Se Baba Ka Ruka Hai Khoon Ae Behna 
Ajab Aalam Hai Ghurbat Ka 
Ibn e Muljim Ki Zarbat Ka 
Abhi Tak Zakhm Taaza Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab

Khadija Aur Raqayya Fatima Kulsum Ko Dekho 
Badi Ho Tum Karo Himmat Sambhalo Chhoti Behnon Ko 
Imaame Se Koi Lipte 
Koi Lipte Musalle Se 
Hamara Saath Dena Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab

Woh Dekho Dar Pe Jo Baithe Hain Unko Kaun Paale Ga
Batao Kaun Kufa Ke Yateemon Ko Sambhale Ga 
Yeh Baba Ki Wasiyat Thi 
Khabar Lena Yateemon Ki 
Unhein Bhi Chup Karana Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab

Janaaze Ke Barabar Mein Khadi Hain Fatima Zahra
Kafan Hat Jaaye Na Sar Se, Dikhe Na Zakhm Zarbat Ka 
Madine Mein Saha Jo Jo 
Abhi Bhooli Kahan Hain Woh 
Wohi Pehlu Shikasta Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab

Yeh Phir Shabbir Se Shabbir Ne Ro Ro Kar Kaha Bhai
Tumhi Zainab Ko Do Apne Kafan Ka Wastah Bhai 
Dikha Kar Maa Ka Woh Kurta 
Bata Do Roz e Ashura 
Kafan Mujhko Pehnana Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab

Ajab Kahraam Tha Ghar Mein Yeh Jab Bola Hai Zainab Ne
Abhi Baba Ko Jee Bhar Ke, Kahan Dekha Hai Zainab Ne 
Hasan Kehne Lage Ro Ke 
Kaha Jitni Dafa Tum Ne 
Kafan Main Ne Hataya Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab

Uthayi Jis Ghadi Mayyat Jawaan Beton Ne Kandhon Par
Bayaan Ho Kaise Yeh Manzar Yeh Gham Ka Kaunsa Manzar 
Yeh Dil Gham Se Na Phat Jaaye 
Yahi Kehte Hue Haaye 
Janaaza Ghar Se Nikla Hai Kafan Ab Chhod Do Zainab

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *