Karyal Jawan Ki Lash

Akber Haye Akber Akber Haye Akber
Ghora Se Gir Ka Jab Ali Akber Ne Di Sadaa
Apni Qamar Ko Tham Ke Shabbir Ne Kaha

Karyal Jawan Ki Lash Uthane Chale Hain Hum
Seedhi Ho Ayy Qamar Tujhe Abbas Ki Qasam

Ye Imtihan Zaeefi Main Mujh Ko Nibhana Hai
Akber Ko Le Ka Khaima E Zainab Main Jana Hai
Raste Main Larkharain Na Shabbir Ke Qadam

Gurbat Pe Apni Roya Hai Khud Ibn E Fatima
Gir Gir Ke Ta Kiya Hai Ye Maqtal Ka Fasla
Bus Hum Se Dur Lash Hai Akber Ki Do Qadam

Rasha Hai Is Qadar Ke Larazte Hain Mere Hath
Lasha Hai Ye Rasool Ka Akber Ke Sath Sath
Do Lashe Ik Sath Uthayen Ge Kese Hum

Is Haal Main Kahin Mujhe Zehra Na Dekh Lein
Meri Qamar Jhuki Hui Baba Na Dekh Lein
Atay He Honge Meri Madad Ko Shah E Umam

Seena Main Keh Ka Toari Hai Zalim Ne Ye Sina
Ab Dekhna Hussain Ki Niklegi Kese Jaan
Zalim Ko Ye Batana Hai Ibne Ali Hain Hum

Is Haal Main Khayama Main Jaoga Kis Tarha
Zainab Ki Kainat Uthaonga Kis Tarha
Zehra Ka Chand Karb O Bala Main Hua Hai Khum

Amman Ke Sath Mil Ke Seena Main Ne Khench Li
Hathon Main Ab Hamare Wo Taqat Nahi Rahi
Abbas Kiya Gaye Mere Bazoo Hui Qalam

Bahein Galay Main Daal Di  Akber  Ne Jis Ghari
Ibn E Ali Ne Ro Ke Taqalum Sada Yeh Di
Sansain Bachi Hain Ab Mere Akber Ke Pas Kam

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *