Abbas Ki Behan Ko Shami Rula Rahe Hain
Chadar Dhika Dhika Ke Rasta Bana Rahi Hain
Bint E Ali Ka Fiza Kante Hata Hata Ke
Pardes Main Kisi Per Aesa Na Waqt Aye
Na Mahramon Mai Koi Yun Be Rida Na Jaye
Karte Hain Ye Duain Ahl E Haram Ke Bache
Jholi Utha Utha Ke
Bhai Behan Ki Ankhein Nam Hoti Jarahi Hain
Bint E Ali Ki Sansein Kam Hoti Jarahi Hain
Khanjar Chala Raha Hai Zainab Ke Dil Pe Zalim
Khanjar Dhika Dhika Ke
Ik Bachi Keh Rahi Hai Aao Madad Ko Baba
Dadi Ki Tarha Mai Bhi Ab Ho Gayi Zaeefa
Zakhmi Kiya Hai Pehlu Naqa Se Zalimon Ne
Mujh Ko Gira Gira Ke
Parde Mai Bhi Jo Bibi Chalti Na Thi Ziyada
Pardes Mai Ab Un Par Aya Hai Waqt Kesa
Layein Hain Shaam Wale Un Shah Zadiyon Ko
Paidal Chala Chala Ke
Wo Shamiyon Ke Tane Wo Muskurate Chehre
Be Parda Sath Apne Bint E Ali Ko Le Ke
Sajjad Kese Bholein Us Bheer Se Guzarna
Nazrein Jhuka Jhuka Ke
Jate Hain Jis Taraf Bhi Ahl E Haram Khule Sar
Khati Hain Pehle Durra Khati Hain Pehle Phattar
Apne Lahoo Mai Tar Hain Zehra Ki Betiyon Ko
Fizza Bacha Bacha Ke
Zakhmo Ki Wo Taqalum Tadad Jante Hain
Mehdi Ko Bhi Khabar Hai Sajjad Jante Hai
Maare Hain Kis Ne Kitne Haider Ki Ladli Ko
Pathar Utha Utha Ke
