Karbala Janay Walon
Janay Walon Dar E Abbas Pe Jab Tum Jana
Ye Areeza Mere Maula Ko Suna Kar Aana
Sab Se Pehle Unhein Kehna Meri Janib Se Salam
Phir Ye Kehna Ke Tarapta Hai Watan Mein Wo Ghulam
Kuch Nahi Lana Faqat Izn E Ziarat Lana
Kehna Hashim Ke Qamar Se Ye Karein Aur Karam
Dekhne Hain Mujhe Rozon Ke Badalte Parcham
Is Baras Mah E Aza Mujh Ko Wahin Dikhlana
Kehna Hazrat Se Wasail Ko Kushada Kar Dein
Mera Is Saal Zara Rizq Zyada Kar Dein
Betiyon Beton Ko Humrah Mujhe Hai Lana
Karbala Paison Se Jate Nahi Mujh Ko Hai Khabar
Tum Bulate Ho Tou Mil Jata Hai Khud Zaad E Safar
Likha Ho Aana Tou Lagta Nahi Ik Bhi Aana
Chote Hazrat Se Ye Kehna Ke Hai Ashoor Qareeb
Ye Bhi Kehna Ke Kya Is Saal Bhi Tarpe Ga Ghareeb
Khoon Ka Dena Hai Wahan Aa Ke Mujhe Nazrana
Un Se Kehna Nahi Mangu Ga Main Asaish O Chain
Neend Jab Aaye Gi So Jaon Ga Bain Ul Haramain
Kafs Ko Takiya Bana Kar Hai Mujhe So Jana
Arbaeen Ki Jo Banane Lage Fehrist Aaqa
Naam Mera Bhi Sakina Ke Tasaduq Likhna
Mujh Ko Bhi Karbala Paidal Hai Najaf Se Jana
Main Agar Sham Gaya Pehle Tou Bolu Ga Yehi
Aap Ke Ammu Ne Bheja Hai Sakina Pani
Tum Abal Fazl Ke Sardab Ka Pani Lana
Kaise Zinda Rahi Bin Aap Ke Asghar Ki Behan
Mar Gayi Par Na Khuli Bachi Ki Gardan Se Rasan
Pursa Masoom Sakina Ka Hai Dene Aana
Mir Sajjad Ko Noha Ka Sila Ye Dena
Is Baras Karbobala Aaye Ga Jab Wo Maula
Aap Nazrane Ke Badlay Mein Nazar Aa Jana
