Amad Amad Haram e Shah Ki

Amad Amad Haram E Shah Ki Darbar Mein Hai
Subh Se Jashan Ka Gul Sham Ke Bazar Mein Hai
Shor E Fariyad O Buqa Itrat E Athaar Mein Hai

Hukum Aya Hai Aseeron Ko Barabar Maro
Jashan Ka Waqt Hai Durre Inhein Hans Kar Maro
Ek Manadi Ye Nida Deta Hai Aao Logo
Baghi Aaye Hain Inhein Shook Se Pathar Maro

Haye Khoon Main Dooba Hua Sadaat Ka Har Chehra Hai
Girya Kar Sakte Nhi Aah Pe Bhi Pehra Hai
Sang Bari Ki Aziyat Bhi Bari Hai Lekin
Zakham Sadke Ki Khajoron Ka Bohat Gehra Hai

Haye Dekh Kar Aal E Muhammad Ko Hanse Jate Hain
Log Har Mor Pe Bas Tanay Diye Jate Hain
Chadarein Kya Hain Kafan Bhi Nahi Deta Koi
Zinda Lashe Liye Sajjad Chale Jate Hain

Mustakil Aal E Muhammad Main Azadari Hai
Aur Beemar Ki Ankhon Se Lahu Jari Hai
Be Rida Sham Ke Bazar Main Aate Hain Haram
Aisa Lagta Hai Kisi Eid Ki Tayyari Hai

Haye Jholi Bhar Bhar Ke Sitamgar Hain Laye Pathar
Patharon Ne Bhi Hain Hathon Main Uthaye Pathar
Nok E Naiza Se Gira Khak Pe Sar Asghar Ka
Chote Bachon Se Sakina Ne Jo Khaye Pathar

Bab E Saat Pe Bhi Zakhmo Se Bhare Hain Qaidi
Hai Waram Paon Pe Paidal Jo Chale Hain Qaidi
Ary Log Tasheer Ke Khanjar Liye Amadah Hain
Teen Din Ho Gaye Maqtal Main Khare Hain Qaidi

Haye Darbar Main Jane Ki Ghari Kesi Thi
Honsla Deti Rahi Sab Ko Ali Ki Beti
Sath Sau Kursi Nashi Dur Se Dekhe Jis Dum
Thaam Kar Apni Qamar Bint E Ali Beth Gayi

Wada Beti Se Nibhane Ke Liye Aaye Ali
Sani E Zahra Takallum Paye Tazeem Uthi
Is Gareebi Pe Tarapne Lagi Rooh E Zehra
Baap Ke Sath Jo Beti Sar E Darbar Gayi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *