Ya Abalfazl

Saqqiye Aal E Abba Abalfazl
Tishna Lab E Karbala Abalfazl
Chishma E Aab E Baqa Abalfazl
Abalfazl Ya Abalfazl Ya Abalfazl

Qarb Shabbir Ke Chehre Se Mitane Wale
Ranj Se Aale Muhammad Ko Churane Wale
Tham Le Hath Pareshan Azadaron Ka
Aye Sakina Ke Liye Bazu Katane Wale

Toot Jaye Na Meri Aaas Aye Umeed E Haram
Mere Zakhmo Ka Faqt Ap Ho Ghazi Marham
Arbaeen Par Humein Bulwa Le Ziarat Ke Liye
Ap Ko Pehlu Shakista Kisi Bibi Ki Qasam

Hum Ko Duniya Ka Tarafdar Na Hone De Na
Sirf Baato Ka Azadar Na Hone De Na
Sadqa Shehzadi Ruqaiya Ke Bandhe Hathon Ka
Hum Ko Mushkil Main Giraftar Na Hone De Na

Likh Do Taqdeer Main Phir Karbala Jana Ghazi
Apna Darbar Humein Jald Dikhana Ghazi
Wasta Deta Hoon Zakhm E Ali Akbar Ka Tumhein
Karbala Sare Jawano Ko Bulana Ghazi

Us Ghari Nazro Main Ashoor Ki Rudad Aayi
Ansu Ankhon Main Bhare Honton Pe Faryaad Aayi
Samne Paani Tha Aur Pi Bhi Nahi Sakta Tha
Mujhko Roze Main Teri Pyaas Bohot Yaad Ayi

Tum Ho Shabbir Ki Beti Ka Sahara Ghazi
Bin Tumhare Na Hua Uska Guzara Ghazi
Shimr Ne Jab Bhi Sakina Ko Tamache Mare
Usne Baba Ko Nahi Tum Ko Pukara Ghazi

Us Ghari Khaima E Sadat Main Kohram Hua
Khoon Bhara Jis Ghari Ran Se Tera Parcham Aaya
Pyaasi Mar Jaungi Aur Paani Nahi Maangu Gi
Tor Kar Kooze Ye Maasoom Sakina Ne Kaha

Tu Ne Acha Hua Bhai Ki Na Gurbat Dekhi
Tane Deta Tha Koi Shah Pe Hasta Tha Koi
Apne Bhai Ki Madad Ke Liye Ran Main Aakar
Laash Zainab Ne Uthayi Hai Ali Akbar Ki
Shah Ne Ro Kar Kaha Abalfazl
Utho Mere Bawafa Abalfazl
Tanha Hai Bhai Tera

Aakhri Lamho Main Shabbir Bhot Pyaase Thy
Bari Hasrat Se Sue Neher Nazar Karte Thy
Shimr Hans Hans Ke Lagata Raha Tera Zarbein
Aur Har War Pe Shabbir Sada Dete Thy

Mir Sajjad Bayan Kaise Kare Wo Manzar
Shaam Ki Fauj Ne Jab Aag Lagayi Aakar
Cheenne Aa Gaye Jab Sar Se Rida Zainab Ki
Us Ghari Kehti Rahi Sani E Zehra Ro Kar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *