Aye Mere Aaqa Aye Mere Mola Tumhara Banda Pukarta Hai
Jabeen Ke Sajde Tarap Rahe Hain Har Aik Aansu Tarap Raha Hai
Nahi Hai Koi Nahi Hai Koi Mera Maseeha Tere Siwa
Karbala Bula Lo Karbala Bula Lo Karbala Bula Lo Aye Mere Hussain
Ye Azadar Hain Saeel Mola
Ho Atta In Ko Wasail Mola
Muflisi Rah Mein Hai Haeel Mola
Dur Kar Do Ye Masail Mola
Jo Tera Roza Na Dekh Paye
Tou Kya In Ankhon Ka Faida
Haan Gunahon Ke Moalij Tum Ho
Qibla E Baab E Hawaij Tum Ho
Alam E Kun Faya Koon Mein Mola
Marziyaan Jis Ki Hain Raaij Tum Ho
Kareem Ibne Kareem Tere
Karam Ki Had Hai Na Inteha
Rizq Aankhon Ka Ziarat Hai Teri
Rizq In Hathon Ka Baiyat Hai Teri
Rooh Ka Rizq Hai Irfan Tera
Rizq Is Dil Ka Mohabbat Hai Teri
Jahan Gire Thy Tumhare Aansu
Gire Wahin Par Lahu Mera
Hazari Ho Wahan Ik Bar Meri
Jahan Aate Hain Sawa Lakh Nabi
Ho Ke Mas Roza E Aqdas Se Tere
Main Pukaron Ga Faqat Man Misli
Kisi Nabi Ki Lehad Ka Zaair
Bhi Aaj Tak Na Ye Keh Saka
Meri Taqdeer Jaga Do Mola
Apna Darbar Dikha Do Mola
Ho Karam Mujh Pe Qaza Se Pehle
Apna Zawwar Bana Do Mola
Atta In Ankhon Ko Ab Sukoon Ho
Tumhein Sakina Ka Wasta
Rab Ki Touheed Bachane Wale
Hur Ki Bigri Ko Banane Wale
Aik Romal Ba Shakal E Dasta
Hur Ke Mathy Pe Sajane Wale
Jise Bhi Chahe Tu Hur Bana De
Hai Teri Marzi Teri Atta
Bas Teri Turbat E Athar Ke Qareeb
So Rahe Hain Jahan Joan Aur Habib
Ibne Zahra Aye Farishton Ke Tabeeb
Kash Ho Jaye Mujhe Qabar Naseeb
Jahan Zameen Pe Basa Hua Hai
Khuda Paraston Ka Qafila
Khak Jannat Se Bhi Mehngi Hai Jahan
Pyas Kausar Ki Bhi Bhujti Hai Jahan
Zindagi Mout Pe Marti Hai Jahan
Baat Nabiyon Ki Bhi Banti Hai Jahan
Ussi Zameen Pe Ussi Zameen Pe
Jahan Hai Arsh E Khuda Jhuka
Aye Wilayat Ke Mohafiz Shabbir
Tere Darbar Mein Aaya Hai Faqeer
Ik Nazar Dekh Le Is Ki Tehreer
Is Ke Alfaz Mein Bhar De Taseer
Atta Ho Mohsin Ko Sare Lafzon
Ke Sare Harfoon Ki Ik Jaza
