Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho

Uthhe Hain Haath Khudaya Issi Dua Ke Liye
Naseeb Ho Safar E Ishq Karbala Ke Liye
Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho
Phir Laut Kar Wahan Se Na Aana Naseeb Ho

Ankhon Ko Jab Bhi Ashk Bahana Naseeb Ho
Aale Nabi Ke Ghum Ka Bahana Naseeb Ho

Aisa Dar E Hussain Pe Sajda Ho Akhri
Phir Mujh Ko Apna Sar Na Uthana Naseeb Ho

Parwardigaar Thokarein Dar Dar Ki Kab Talak
Ab Mustaqil Najaf Mein Thikana Naseeb Ho

Jaisa Mila Naseeb Se Ummul Baneen Ko
Ab Kya Kisi Ko Aisa Gharana Naseeb Ho

Mehshar Ye Arzu Hai Ke Be Ghusl O Be Kafan
Karbobala Ki Teh Main Samana Naseeb Ho

Aansu Gire Thy Bali Sakina Ke Jis Jagah
Apna Wahan Pe Khoon Bahana Naseeb Ho

Ye Keh Ke Shah Nikle Mazaar E Rasool Se
Pardes Mein Kafan Mujhe Nana Naseeb Ho

Asghar Hai Mere Haath Bandhe Kehti Thi Rabab
Kaise Tumhe Gale Se Lagana Naseeb Ho

Mashkeeza Le Ke Roza E Abbas Ke Qareeb
Sab Zairon Ko Paani Pilana Naseeb Ho

Ek Sar Burida Lashe Ne Bachi Ko Di Dua
Zindan Se Tujh Ko Laut Ke Aana Naseeb Ho
Nazdeek E Khaima Gah Sakina Ki Yaad Mein
Shaam E Gareeban Shamma Jalana Naseeb Ho


Sajjad Shaam Tak Yahi Karte Rahe Dua
Chadar Mujhe Phuphi Ko Urhana Naseeb Ho
Aye Kaash Phir Se Mir Takallum Furaat Par
Mehdi Ko Sheh Ka Noha Sunana Naseeb Ho

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *